muhabbat rog hai jana! ajab sanjog hai jana! ye kaisa joog hai - TopicsExpress



          

muhabbat rog hai jana! ajab sanjog hai jana! ye kaisa joog hai jana! barhy borhy btaty thy kai qissay sunaty thy magar hum manty kb thy ye sb kuch janty kb thy wo batey zikar k qabil, kabhi gardanty kb thy anna k takht syy oper bohat sari bulanndi pr kahin pariyo k jhurmat mai teri pao ki payal mai ghani zulfon ki chaon mai tery choty sy gaon mai sitary chand sooraj, walihana raqs krty hai tery qadmo ki ahat pr gulabi muskurahat pr tery sir k ishary pr adaiy kafirana pr sadaiy dilbrana pr chaman k phool sary iss trha sy dheyan daity thy zra sy wasal k jhansy mai apni jan daity thy humey adraak hi kb tha tery paiker mai chandni dhal k hr soo bhikerti hai shab e mahtab ki dosheezgi kaisy nikharti hai teri payal ki chan chan man mai kya ghanti bjati hai teri awaz veerany mai kya jado jagati hai tery nagmay fizzaa mai jaltrang kaisy bjaty hai bohat pukhta irady kiss trha sy toot jaty hai humey to zoum tha jana kisi soorat mai bhi hum py koi jadu nhe hoga dil e dana qabu sy be qaboo nhe hoga ye duniyadar, duniyadar sy sadhu nhe hoga magar phir you howa jana! na jany kyu howa jana! ajab afssoon howa jana! jigar ka khoon howa jana! teri aabroo ki ik junbish sy ghaiyl ho gay hum bhi sakhawat krny aiy thy or sail ho gay hum bhi bary borho ki un batoo k qail ho ga hum bhi barhy borhy btaty thy kai qissay sunaty thy muhabbat rog hai jana ajab sanjog hai jana ye kaisa jog hai jana
Posted on: Thu, 26 Sep 2013 03:46:48 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015