my new story : NEVER TRUST - TopicsExpress



          

my new story : NEVER TRUST author-shubham shukla shaam ke 7 baje the har roz ki tarah mumbai bhaagna chahti thi par aaj barrish ne use rok liya har koi iss julmi barrish se bachne ke liye kahi kahi na kahi chupne ki jagah dhhood raha tha koi kisi chai ki dukaan me chup raha tha toh koi bus stand ke neeche aur jo thoda paise wale the who kisi hotel ya restaurant me chai ke saath iss rim jhim barrish ka maja le rahe the par ek nisha thi jo iss barrish me bhi apne ghar bhaagi chali ja rahi thi kyunki aaj uske chote bate chirag ka birthday tha aur usne usse promise kiya tha ki aaj kuch bhi ho jaye woh uska birthday puri family ke saath hi celebrate karegi par ek jagah nisha jaakar ruk gayi shayad who jaan chuki thi ki ab woh jitni koshishe kar le time pe ghar nahi pehuch payegi so woh bhi barrish se bachne ke liye ek shop pe jakar khadi ho gayi.32 years ki neha bahut khoobsurat lag rahi thi uska husband se divorce ho chuka tha who apne father ke yaha apne do bacho chirag aur kapil ke saath rehti thi uske father ek school teacher the toh unhone nisha ko bhi apne hi school me job dila di thi ab nisha ki duniya uske do bache hi the. Who unhi ke bare me soch rahi thi ki suddenly usne do logo ki ladai suni ye jhagda ek taxi driver aur uske customer ki thi .nisha reason toh nahi jaan payi is jhagde ka but who customer jaroor jhagda kahatm hone ke baad nisha ke bagal me aakar khada ho gaya who customer bahut saare samman suitcase liye hue tha.neha hi dekh rahi thi tabhi suddenly usne neha se poocha can you tell me time kya time hua hai nisha ne kaha 7 baje hai who aadmi ye sun ke pareshaan ho gya usne kaha mujhe meri new york ki flight pakdni thi but iss barrish ne sab bigad diya nisha uska woh mayush chehra bade dhyaan se dekh rahi thi woh aadmi dikhne me bada smart & handsome tha shayad who usse pehle bhi mil chuki thi .nisha ne uss aadmi se poocha kya me aapko jaanti ho us aadmi ne kaha badi der me pehchana tumne mujhe I am anoop ye sunte hi neha ne use gale se laga kiya. nisha ne usse poccha jab jaante the toh bataya kyun nahi. Anoop ne kaha aksar first bentch pe baithne wale backbenchers ko nahi pehchante isliye maine tumhe nahi bataya.nisha ne kaha tumhe kaise bhool sakti hoon tum hi to the jisne mujhe mera first love letter diya tha ek gulaab ke phool ke saath. Anoop ne kaha aur tumne mujhe thapad maara tha us harkat ke liye. Nisha ne kaha No yaar who toh tumne poore class ke samne mujhe purpose kar diya tha iss liye haath chal gaya. Anoop ne kaha akele me deta toh kuch aur jawaab hota tumahara . nisha ne kaha shayad .anoop ne kaha ek baat poochu bura toh nahi manogi .nisha ne kaha shaadi ki maine ki nahi yahi poochoge na toh answer ye hai maine shaadi kar li hai aur mere do bache bhi hai. Anoop ne kaha congratulations wiase husband kya karta hai tumahara. nishu ne kaha usse mera divorce ho chuka hai. Anoop ye sunkar gehri saas leta hai aur kehta hai yaha khade khade baat karne se acha hai hum samne wale restaurant me baith kar sakte hai nisha maan janti hai. nishha anoop se poochti hai tumne shaadi ki .anoop ne kaha nahi.nisha ne kaha kyun ab toh tum smart bhi ho gye ho koi mili nahi ya interest nahi tha. Anoop ne kaha interest toh bahut tha par tum jaisi koi na mili sach kahu toh aaj jab tumhe dekha toh usdin ki yaad aagyi jis din tumhe pehli baar dekha tha same colourki yellow dress pehni thi tumne jab tum pehli baar college aayi thi thodi dari hui thi but chehre pe ek halki si smile thi. Pehle din hi pyaar ho gya tha tumse.anoop aage kuch aur bolta isse pehle hi use nisha ne rok diya kaha plz yaad mat dilao woh baatein chubti hai dil ko.anoop ne kaha sach kahu aaj tak tumhe bhool nahi paaya.woh fresher’s per tumahara dance who gaana jo tumne class me gaya tha woh ragging ke time tumahare aanshu kuch nahi bhoola me.woh college ke din hi meri jindagi hai aaj bhi nisha anoop ki baatein bade dhyaan se sun rahi thi shayad usne us din woh gulaab na lekar bahut badi galti ki thi. Isse pehle anoop aur kuch kehta barrish band ho gayi nisha ne kaha barrish band ho gayi hai mujhe ghar jana hai .anoop ne kaha jati hi toh aayi ho aaj tak pehle bhi chali gayi thi aaj bhi ja rahi ho bas ek ye kambhkat saase hai jo mujhse door nahi ja rahi hai.dono restaurant ke bahar niklte hai.nisha anoop se kehti hai tumhari flight toh miss ho gayi hai ab kaha jaoge .anoop kehta hai kisi hotel me rukunga aur subah hote hi airport ke liye chala jaunga.nisha kehti hai kaha raat ke 9.30 baje batkoge mere saath mere ghar chalo aaj mere bete ka birthday hai milkar celebrate karenge anoop maan jata hai aur doono taxi karke nisha ke ghar ki oor chal dete hai. taxi me anoop kehta hai nisha college me tumhare paas ek dayari thi usme tumne likhna band kar diya ya abhi bhi likhti ho nisha ne kaha do mahine pehle kisi ne mera purse chori kar liya usne meri college ki yaadein chura li.itne me nisha ka ghar aa jata hai. nisha ke ghar ke bahar police ka kada pehara tha anoop ye dekhkar poochta hai nisha ye police wale kya kar rahe hai yaha .nisha kaehti hai woh dad ek case ke gawah bane hai jiska result kal aane wala hai toh police ne unhe protection di hai but tum mat daro mere dost aise hi aate jate rehte hai yaha pe aur ye sab unhe kuch nahi bolte. anoop nisha ke saath ghar ke andar jaata hai nisha anoop aur poori family milke chirag ka birthday manate hai dinner ke waqt nisha ke father se poochta hai uncle ye case kaisa hai .nishu ke father kehte hai beta kuch nahi who ek minister ke bete ne rush driving karke ek aadmi ko maar diya usi ka gawah bana hoo me waise kal ek baar court me pesh ho jaau toh sab theek ho jayega dinner karne ke baad sab apne apne kamre me sone ke liye chale jate hai.but nisha kicthen ka kaam khatm karne kicthen me chali jaati .kuch der baad anoop bhi kitchen me chala jaata hai.nisha anoop se kehti hai kyun need nahi aa rahi aapko anoop kehta hai nahi kyunki tum saath ho toh soch raha tha kuch der aur tumhe dekh loo. Nisha kehti hai so jao nahi toh flight miss ho jayegi phir ek din aur mujhe dekhna padega . anoop kehta hai itni hi fikr hai toh ek gaana suna do soo jaunga me nisha kehti hai acha baba ek baar papa ko dawai de doo phir tumhe gaana sunati hoo.anoop kehta hai acha yaad dilaya tumhe mujhe bhi meri dawai khaani thi.anoop apni pocket se dawai nikaal ke khata hai.nisha poochti hai kis cheez ki dawa hai ye anoop kehta hai headachekioh tum jao jaldi dawai de ke aao .nisha dawai de ke wapas aati anoop ko gaana sunane . nisha gaana start karti hai anoop usse kehta hai nishu will u dance with me .nisha kehti hai mera naam nisha hai not nishu .anoop ne kaha agar meri shaadi tumse hoti toh me isi naam se bulata . dono kuch der saath me dance karte hai phir nishu anoop se kehti ye haath me kya likha rakha hai tumne shirt upper karo mujhe dekhna hai .nisha uska haath dekhti hai uspe nishu likha hua tha.anoop kehta hai nisha se pata nahi mujhe kehna chahiye ya nahi but aaj bhi me tumse utna hi pyaar karta hoo jitna pehle karta tha will you merry me .ye sunkar nisha kuch der ke liye chup ho jati hai phir jehti raat bhar ka time do mujhe me ye promise toh nahi karti ki jawab ha me hi hoga par me chahungi ki mera jawab ha me ho ho agar me na bolu toh plz bura mat manna.anoop kehta hai ok intzaar rehega subah ka.phir dono apne apne kamre me chale jate hai. Subah jab nisha jab uthati hai toh dekhti hai ki anoop jaane ke liye taiyaar hai .woh anoop se kehti mera jawab ha hai .e sunkar anoop kehta hai intzaar karna mera me new york se laut kar sabse pehle tmahare paas hi aaunga maine apna number is dayri me likh diya hai aur tumahara number bhi le liya call karunga tumhe itna kehkar anoop chala jaata hai. anoop ke jaane ke baad nisha apne daddy ke room me unhe uthane jati hai woh unse kehti hai dad wake up but uske dad nahi uthate who chilakar police walo ko bulati hai olice wale aate hai aur nisha ke father ko dekhte hai aur usse kehte hai he is dead inhe kisi ne zeher diya hai .nisha ye sunkar behosh ho zati hai .but police waha rakhi glass par nishu ke fingure prints paa jateaur use apne hi dad ke murder ke ilzaam me girftaar kar leti hai. Nisha lockup me rehti hai tabhi uske liye ek letter aata hai nisha padhti hai use usme likha tha I am not anoop nisha ab tum soch rahi ho gi ki maine aisa kyun kiya becoz mukhe is kaam ke liye minister ne paise diye the ab tum soch rahi hogi ki mujhe tumahare baare me itna kuch pata kaise chala tohwoh dayri jo tumhari chori ho gayi thi maine churai thi aur tumhare dad ki dawai me poison maine tumhare samne hi milaya tha but tum dekh nahi paayi bas tumse ab ek baat kehni sach me mujhe tumse pyaar ho gya issliye tumhe ek principle batata hoo aage bahut kaam aayega tumhare “never trust anyone”good bye……………………………………..
Posted on: Fri, 12 Jul 2013 11:25:28 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015