usay apnay farda ki fikr thi woh jo mera waqif e haal tha woh jo - TopicsExpress



          

usay apnay farda ki fikr thi woh jo mera waqif e haal tha woh jo us ki subah e urooj thi wohi mera waqt e zawal tha Mera dard kesay woh janta meri baat kesay woh manta Woh tou khud fana k safar mein tha usay rokna bhi muhal tha Kahan jaou gay mujhay chor k mai yeh pooch pooch k thak gaya Woh jawab mujh ko na day saka woh to khud srapa sawal tha Woh jo us kay samnnay aa gaya wohi roshni mein naha gaya Ajab us ki haibat e husn thi ajab us ka rang o jamal tha Dam e wapsi usay kya huwa na woh roshni na woh tazgi Woh sitara kesay bikher gaya woh to aap apni misal tha Woh mila to sadioun k baad bhi merey lab pay koi gila na tha Usay meri chup nay rula diya jisay guftagu mein kamal tha Mere saath lag k woh rou diya mujhay faqat itna woh keh saka Jisay janta tha mai zindagi woh to sirf wehm o khayal tha
Posted on: Mon, 08 Jul 2013 16:49:50 +0000

Trending Topics




© 2015