wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho wahi - TopicsExpress



          

wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho wahi yani wada nibah k tumhen yad ho k na yad ho wo naye gile wo shikayaten wo maze maze ki hikayaten wo har ek bat pe ruthna tumhen yad ho k na yad ho koi bat aisi agar hui jo tumhare ji ko buri lagi to bayan se pahle hi bhulna tumhen yad ho k na yad ho suno zikr hai kai sal ka, koi wada mujh se tha ap ka wo nibahane ka to zikr kya, tumhen yad ho k na yad ho kabhi ham main tum main bhi chah thi, kabhi ham se tum se bhi rah thi kabhi ham bhi tum bhi the ashna, tumhen yad ho k na yad ho hue itefaq se gar baham, wo wafa jatane ko dam-ba-dam gila-e-malamat-e-arqaba, tumhen yad ho k na yad ho wo jo lutf mujh pe the beshtar, wo karam k hath mere hath par mujhe sab hain yad zara zara, tumhen yad no k na yad ho kabhi baithe sab hain jo ru-ba-ru to isharaton hi se guftagu wo bayan shauq ka barmala tumhen yad ho k na yad ho wo bigarna wasl ki rat ka, wo na manana kisi bat ka wo nahin nahin ki har an ada, tumhen yad ho ki na yad ho jise ap ginte the ashna jise ap kahte the bawafa main wahi hun "Momin"-e-mubtala tumhen yad ho k na yad ho
Posted on: Fri, 04 Oct 2013 20:02:10 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015