woh chaand jaisi ladki, woh sitaron jaisa aanchal, woh phool jaisi - TopicsExpress



          

woh chaand jaisi ladki, woh sitaron jaisa aanchal, woh phool jaisi komal, woh paanv jaise makhmal. woh moti jaisi aakhen, woh hirni jaisi chaal, woh chandi jaisa rang hai, woh sunehre hai baal. woh bole toh bole sangeet hai, woh hanse toh hai saaz, woh kaanton sa chubhta hai, woh phoolon sa andaaz, woh gussa jaise bijli, woh julfein hai ghatayein woh aansu jaise barkha, woh saasein hai hawayein. woh bindiya jaise jugnu, woh chudiya woh kangan, woh paayal karti chan chan, woh khushboo jaise chandan. woh chandni si sheetal, woh chaand pe hai rehti, woh udti hai gagan me, woh jharno si hai behti. woh dil ki hai haan dhadkan, woh dil se mere kehti, woh chaand jaisi ladki, woh chaand jaisi ladki.....
Posted on: Thu, 11 Jul 2013 13:46:17 +0000

© 2015