1) Aksar Safed rang ka kapda pahenna. [Abu Daawood] Note: Hamaare - TopicsExpress



          

1) Aksar Safed rang ka kapda pahenna. [Abu Daawood] Note: Hamaare Nabi ko safed rang ka kapda pasand tha. 2) Qamees aur kurte waghairah mein pehle daayaan haath aastin mein daalna, phir baayaan isi tarah paaejaama, shalwaar waghairah mein pehle daayaan paaon daalna phir baayaan. [Tirmizi] 3) Paaejaama, Shalwaar, Lungi waghairah takhne se upar rakhna.[Bukhaari] 4) Kapda pehenne ki dua padhna. [Abu Daawood] 5) Topi pehan kar us par amaama baandhna. [Abu Daawood] 6) Amaame ka shamla ek haath ki miqdaar (kohni tak) ya us se ziyaadah chhodna. [Abu Daawood] 7) Kapde Utaarte waqt “Bismillaah” kehna. [Ibn Maaja] 8) Kapda utaarne mein baayein taraf se utaarna shuroo karna, pehle baayaan haath nikaalna phir daayaan, isi tarah pehle baayaan paaon nikaalna phir daayaan. [Abu Daawood] 9) Joota, chappal pehle daayein paaon mein pahenna phir baayein paaon mein. [Bukhaari] 10) Utaarte waqt pehle baayein paaon se utaarna, phir daayein se. [Bukhaari] - See more at: quranrecites/libaas-ki-sunnatein.php#sthash.X2kvZyjw.dpuf
Posted on: Fri, 30 Aug 2013 14:39:46 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015