1st AprilJahannam me leja Sakta hai ! YaaniApril FoolJhooth - TopicsExpress



          

1st AprilJahannam me leja Sakta hai ! YaaniApril FoolJhooth Bolkar Logon ko Taklif dene ka din. Is din hum dusron ko fool banane se zyada khud fool bante hain... Kaise ??? Kya aapko nahi pata Musalman ko dhoka dena kitna bada gunaah hai ? Kya Aapko nahi pata Jhooth bolne walon par kaun laanat karta hai ? Dekhiye Is Tarah ke Din Manaane ki Ijazat Naa Toh humara zameer Deta hai,Aur Naa hi Humara Imaan ! Aayein kuch Riwayatein pesh ki jaati hai inhe padhein aur Jhooth bolne ke nuksanat aur tabahkariyan jaane aur kuch Riwayaton se Jhooth se bachne ki fayede bhi janne ki koshish karte hain Aur aaj nahi balki abhi se ahad karte hain ki Aaj ke baad April fool ke ek din hi nahi balki hamesha jhooth bolne se bachenge ! Nabiyon ke Sultan,Rehmat-e -Alamiyan,Sarda r-e-do jahaan,Mehboob- e-Rehman عزوجل ,Mere Pyaare-Pyaare Aaqa Madine wale Mustafa ( ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم) ka farman Magfirat Nishan hai, 1)-Jab Banda Jhoot Bolta He To Iski Badboo Sy Farishta 1 Meel Door Hat Jata hai. (Tirmizi Sharif, H#1979) الله اكب عزوجل 2)-Bahut Saare Log Muh Ke Bal Jahannam Me Phenk Diye Jayenge, Sirf Apni Zubaan Ki Wajah Se. >>[Tirmizi Sharif] الله اكب عزوجل 3)-Jab Koi Jhuthi Gawaahi Deta Hai,Toh Arsh Kaanpta Hai Aur Arsh Ke Farishte Gawaahi Dene Waale Par Laanat Karte Hai. >>[Bagh-e-Janna t Safa.70] الله اكب عزوجل 4)-Uss Shakhs Ke Liye Kharaabi Hai,Jo Baat Karte Huwe Logo Ko Hansaane Ke Liye Jhooth Bolta Hai. >>[Mishkatul Masaabih] الله اكب عزوجل 5)-Jo Logon ko Hansane ke Liye Jhoot boLe Us ke Liye HaLaakat hei, Us ke liye HaLaakat hei, Us ke Liye HaLaakat hei. (Tirmizee- 2315.) الله اكب عزوجل 6)-kisi insan ke jhoote hone ko yehi kafi hai ki har suni sunayi baat (bagair tahkeek kiye) bayan karde. (Muqaddama Sahi Muslim, safha 8, hadees 5)(Book-Ghibat ki Tabahkariyan Hindi, Page No. 91 Maktabatul Madina) الله اكب عزوجل Jhooth bolne se bachte raho kyunki, 7)-Jhoot Se Bachte Raho, Is Liye ke Jhoot Gunah kii Taraf Le Jaata hei, aur Gunah Jahannam mei Pahuncha Deta hei, aur Aadmii Barabar Jhoot BoLta Rehta hei, Yaha Tak ke ALLaah TaaaLa ke Yahan Us ka Naam Jhooton mei Likh Diya Jaata hei. (MusLim- 6804.) الله اكب عزوجل 8)-Sach Bolna Naiki He Or Naiki Jannat Me Lejati He Or Jhoot Bolna FasQ-o-Fujoor He Or FasQ-O-Fujoor Dozakh Me Lejata He. (Sahi Muslim,H#104-26 07) الله اكب عزوجل 9)-Kisii Bande ka Imaan MukammaL Nahie ho Sakta Jab Tak ke Hansee Mazaaq mei bhi Jhoot ko Na Chhore. (Musnade Ahmad- 8630.) الله اكب عزوجل 10)-Mei Us Shakhs ke Liye beech Jannat mei Ghar kii Zamaanat Leta hun, Jo Jhoot ko Chhor de, Agarche Mazaaq mei hii Kyun Na ho. (Abu Dawood- 4800.) سبحان الله عزوجل Dekhein Hamara Khalil-o-Malik عزوجل Quran-e-Kareem me kya Irshad Farmata hai, Aur Jhooton par Allah ki Laanat. >>[Surah Aal-e-Imran, Ayat 61] Ab aap hi sochein ki jis par Allah عزوجل ki laanat ho uska kya hashar hoga ? Pyaare Islami bhaiyon Yaad rakho Jhooth Bolne Ki Aadat Ka Sab Se Bada Nuksaan Ye Bhi Hai, Ke Jhooth Bolne Wala Jab Sach Bolta Hai Toh Bhi Log Uski Baat Par Yakeen Nahi Karte. Aap sab ki bargah me arz hai ki Abhi Allah عزوجل se tauba karein jo jhooth aaj tak bolo hoga jaane-anjane me aur pakka ahad karein ki ab kabhi jhooth nahi bolenge ! Allah عزوجل humein padhne se zyada samjhkar amal karne ki taufiq ata farmaye.....
Posted on: Tue, 01 Apr 2014 03:46:16 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015