2. Hazrat Abu Hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki - TopicsExpress



          

2. Hazrat Abu Hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab Jumaa ka din aata hai to farishtey masjid ke darwazey par aaney walon ka naam likhtey hain sabse pahley aaney wala oont(camel) ki qurbani dene waley ki tarah likha jata hai, uskey baad aaney wala gaay (cow) ki Qurbani deney waley ki tarah phir maindey(sheep) ki Qurbani ka sawab milta hai , uskey baad murgi(chicken) ka, uskey baad andey(egg) ka lekin jab imam (khutba dene ke liye) bahar aa jata hai to ye farishtey apney daftar band kar dete hain aur khutba sunney mein mashgul ho jatey hain. Sahih Bukhari, Vol 2, #929
Posted on: Fri, 07 Mar 2014 02:18:43 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015