Asalam o Alaikum Respected Teachers! After long time we welcome - TopicsExpress



          

Asalam o Alaikum Respected Teachers! After long time we welcome u again to Haqooq Teachers Assoication. “The sole Platform for the rights of 5000 Balochistan Package Teachers and now we welcome others Teachers as well serving in Balochistan to be the part of this association. Aap logo ki Hosla, Istiqamat, Support aur Prays k bahoth bahoth shukaria k aap log Haqooq Teachers Assoication ka saat detay rahay ho, detay ho, detay rahogey aur ais tanzim ko apney haqooq k liye fight karney wali tanzim samajtay ho…. Jesey aap logo ko pata hoga k pichlay kahi months se hum Quetta k aur digar districts k orders ko process karwaney, AG main members k Pay Slips, GPF Fund No allot karwaney, Vendor No, Pay Bills ki tayari, Bills ko process karwaney aur Pay ko Computerized karwaney main masroof tey… Haqooq Teachers Assoication Balochistan (HTAB) ko mazbood aur active bananey k liye kahi faisley kiye gaye hai jis ka aghaz Quetta se Jald hoga, HTA Quetta cabinet tamam schools ka dora karegi, Haqooq teachers k masail sunigi aur digar teachers ko jo k maafaad parast tanzimo se tang aa chokay hai aun ko dawat degi k wo ais tehrik ka hisa baney taa k Balochistan jo k aik backward province k tor per samaja jata hai khas tor pr talim k hawalay se ka muqabal kar sakay aur ais province ko andehro se nikal kar roshni ki taraf laye ja sakay…. HTAB ne jo faisley kiye hai tanzim ko behtar banaey k liye wo darj zail hai… 1. Tamam districts k cabinets apney districts k schools ka dora karengey aur Haqooq teachers k saat digar teachers ko HTA k members banyengey. 2. Membership k baad wo districts jaha pe election nahi howey hai waha pe election karwaye jayengey, Khawishmaand hazrat election main hisa leney k liye panels banayengey taa k aik jamori tarz ka cabinet samney aye jo k teachers k masail ko behtarin tariqey se hal kar sakay aur HTA ko poray province main aik mustahkam tanzim bana sakay.. 3. HTA Quetta aan qarib tamam schools ka dora karegi, HTA membersazi ka mohaim chalayigi aur teachers k masail sunigi…Membersazi k baad HTA Quetta k election karwaye jayengey. HTAB Cabinet jald he CM se mulaqat karegi jis main darj zail gravinces CM ko paish ki jayigi… 1. Tamam teachers ki service 29th July, 2010 se count ki jaye. 2. Tamam JET ko upgrade kar k SST banaye jaye. 3. Tamam SSTs ko BPS-17 di jaye. 4. Haqooq teachers k liye trainings organize karwaye jaye taa k teachers ki teaching cabilities increase ho aur behtar taqriqey se para sakay. 5. M.ed or B.ed k liye 3 saal k time ko extend karne ki koshish karenge. Q k 3 sal mai kuch teachers ki professional qualification mukmal nai hosakegi. 6. Regular old teachers k jahiz demands pr b kaam karenge HTAB
Posted on: Wed, 10 Sep 2014 17:45:23 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015