Assalamu Alaikum Doston? Aaj Mai Aap Sabki Khidmat Me Kuch Aise - TopicsExpress



          

Assalamu Alaikum Doston? Aaj Mai Aap Sabki Khidmat Me Kuch Aise Sawalo Jawab Leke Aaya Hu jo Bahut Se Log Nahi Jante Aur Jab Koi Poochta Hai To Apni Gardane Jhank ne Lagte Hai.To Dosto Poora Post Padhen Aur Post Ko Copy Karke Save Karen Aur Share Karden.Jazak Allah. • SAWAL : Iman Kise Kahte HaiN? >>JAWAB :- Allah Ta’ala ki Wahdaniyat Aur Huzoor Akram (Sallallahu Alaihi wasallam) Ki Risalat Ka Zaban Se Iqrar,Aur Dil Se Tasdeeq Karna Iman Kaihlata Hai.Neez Ye Bhi Zaruri Hai Ke Nabi-e Kareem (Sallallahu alaihi wasallam) Ki Batayi Tamam Bato’n Ki Tasdeeq Ki Jaay. . • SAWAL:-Kufr Kise Kahte HaiN? >>JAWAB:- Islami Aqaid Ke Khilaf Koi Aqeedah Rakhna,Ya Islam Ki Kisi Mash’Hoor-o Maloom Baat Ka Inkar Karna,Ya Us Me Shak Karna,Jaise Namaz,Roza,Zaka t,Ya Hajj Ko Farz Naa Jaanna,Ya Kisi Sharae’e Hukm Ka Mazaq Udhana,Ya Mazaq Me Koi Kufriya Jumla Bolna,Ye Sab Baten Kufr HaiN. . • SAWAL:- Aqeedah Tauheed Se Kya Murad Hai? >>JAWAB:- Allah Ta’ala Ek Hai,BeNiyaz Hai,Waajibul Maujood Hai,Yani Allah Ta’al Hamesha Se Hai,Aur Hamesha Rahega,Wo Sabka Khaliq-o Malik Aur Raziq Hai,Uska Koi Shareek Nahi,Zindagi,Ma ut,Izzat,Zillat ,Sab Uske Ikhtiyar Me Hai,Wo Chahe Aur Jaisa Chahe Kare Use Koi Rok Nahi Sakta,Wo Na Kisi Ka Baap Hai Na Kisi ka Beta,Sab Uske Muhtaj HaiN,Wo Kisi Ka Muhtaj Nahi,Wo Aalimul Gaib Hai,Aur Har Aib Se Pak Hai. . • SAWAL:- Shirk Kise Kahte HaiN? >>JAWAB:- Allah Ke Siwa Kisi Aur Ko Khuda Janna,Ya Ibadat Ke Laiq Samajhna Shirk Hai,Neez Allah Ta’ala Ki Sifaat Ko Bae’ena Kisi Gair Ke Liye Manna,Yani Kisi Makhlooq Ki Sifat Ko Qadeem Aur Mutaqal BilZat Manna Shirk Hai. . • SAWAL:- Quran Kareem Me Rab Ta’ala Ki Ba’az Sifaat Bando Ke Liye Bayan Huyin,Aisi Chand Sifaat Ka Hawaala Dijiye? >>JAWAB:- Sureh (Al dahar Ayat- No-02) Me Insan Ko “Same’e-o Baseer” Kaha Gaya.Sureh (AL Baqarah Ayat-No-143) Me Huzoor Akram (Sallallahu alaihi wasallam) Ko “Shaheed” Aur Sureh (Al Tauba Ayat No-128) Me “Rauf-o Raheem” Farmaya Gaya.Sureh (Al Tahreem Ayat No-04) Me Farishto’N Aur Saleh Momino Ka MadadGaar Hona Bayan Farmaya. Isi Tarah Hayaat,Ilm,Kala am,Madad,Iradah Wagairah MutaAddad Sifaat Bando Ke Liye Bayan Huyin. . • SAWAL:- Allah Ta’ala Ki In Sifaat Ka Bando Ke Liye Manna Shirk Kyun Nahi? • >>JAWAB:- Kyun Ki Allah Ta’ala Ki Ye Sifaat Kisi Ki Di Hui Nahi,Balke Khud Se Hai,Yani Zaati HaiN,Neez Azli,Abdi,Laa Mahdood Aur Shan-e Khaliqiyat Ke Laiq HaiN,Jabke Makhlooq Ko Ye Sifaat,Allah Ta’ala Ne Ata Farmayi HaiN,Neez Ye Sifaat Hadis,Aarzi,Mah dood Aur Shan-e Makhluqiyat Ke Laiq HaiN. . • SAWAL:- Achchhayi Aur Burayi Ki Nisbat Kis Taraf Karni Chahiye? »JAWAB:- Bure Kaam Ki Nisbat Allah Ta’ala Ki Taraf Karna BeAdbi Hai,Isliye Hukm Huwa,Tujhe Jo Bhalayi Pahunche Allah ki Taraf Se Hai,Aur Jo Burayi Pahunche Wo Teri Apni Taraf Se Hai.(An Nisa Ayat No-79) Pas Bure Kaam Karke Tqdeer”Ya Allah ki Taraf Mansoob Karna Bahut Buri Baat Hai,Isliye achchhe Kaam Ko Allah Ta’ala Ke Fazlo Karam Ki Taraf Mansoob Karna Karna Chahiye,Aur Bure Kaam Ko Shamt-e Nafs Samajhna Chahiye. . • SAWAL:- Aqeedah” Tqdeer Kya Hai? »JWAB:- Allah Ta’ala Ne Apne Azli Ilm Gaib Ke Mutabiq,Jaisa Hone Wala Tha Aur Jaisa Karne Wala Tha Usne Likh Liya… Yun Samajh Lijiye Ke Jaisa Ham Apne Irade Aur Ikhtiyar Se Karne Wale The Waisa Usne Likh Diya.Yani Uske Likh Dene Ne Kisi Ne Majbur Nahi Kardiya,Warna Jaza Wa Saza Ka Falsafa BeMa’ane Hokar Rahjata.Yahi Aqeedah Taqdeer Hai. . • SAWAL:- Hazrat Eisa (Alaihissalam) Ne Farmaya Mai Murde Zindah Karta Hu,)Bi Iznillah( Is Ayat Se Kya Nateeja Ukhz Hota hai? »JAWAB:- Is Irshad Se Maloom Huwa ke Allah Ta’ala Ke Diye Huwe Ikhtiyar Se Uske Mahbub Bande Murde Zindah Kar Sakte HainN,Isliye Mahbubaane Khuda Ki Taqat-o Qudrat Maanna Shirk Nahi,Balke Ain- E Taudeed Hai. . • SAWAL:- Mahboobabn-e Khudha” Se Madad Mangna Jaiz Hai,Quran Se Dalail Dijiye? »JAWAB:- Hazrat Moosa (Alaihissalam) Ne Apne Bhai Ko MadadGaar Banane Ki Duwa Ki Jo Qubool Hui,Sureh (Taaha Ayat No-36) Hazrat Eisa (Alaihissalam) Ne Hawariyon Se Madad Mangi (Aal-E Imran:Ayat No-52) Nek Kamo Me Musalmano Ko Madadgaar Banne Ka Hukm Diya Gaya Hai,(Al Maida:Ayat No-02) Imaan Walo Ko Sabr Aur Namaz Se Madad Mangne Ka Hukm Diya Gaya (Al Baqarah:Ayat No-153) Insha Allah Ab Aise Hi EimanI Sawal- o Jawab Aap Tak Pahuchata Rahunga.Bas Sab Mere Haq Me Duwa Farmayen Allah Pak Mujhe Kamyabi De.Ameen Aap Sabka Khadim
Posted on: Sun, 01 Dec 2013 19:09:45 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015