==~ BIDDAT KI TAREEF ~== Koyi bhi kaam neki samajh kar sawaab ki - TopicsExpress



          

==~ BIDDAT KI TAREEF ~== Koyi bhi kaam neki samajh kar sawaab ki niyyat se kiya jaye, jiske karne ka hukm, na Allah Taala ke Kalaam yani Quran-e-Kareem me maujood ho, na Rasulullah(saw) ki Sunnat yani Hadees-e-Mubara ka me maujood ho aur na hi Sahaba-e-Kraam( ra) ke tarikhe me maujood ho, usko BIDDAT kehte hai. Wo Biddat-e-Muqaff irat yani jo BIDDAT, insaan ko KUFAR tak lee jaatihai ya Biddat-e-Ghair Muqaffirat ho, koi bhi BIDDAT ho, isko karne wale ko JAHANNAM me lee jaati hai. Har wo amal jise neki samajh kar sawaab ki niyyat se kiya jaye, jiske karne ka saboot shariyat me maujood nahi, wo BIDDAT keh laata hai. Yaad rahe ke shariyat wo hai, jo sirf Allah ka Quran aur Aap(saw) ka farmaan hai, jis par sahaba(ra) ne amal kiya aur Allah Taala un se raazi ho gaya aur wo Allah Taala se raazi ho gaye. Agar Allah Taala ko raazi karna ho, toh shariyat par utna amal karo aur wo raasta apnaao, jo Aap(saw) aur Sahaba(ra) ka raasta hai, yani SALAF paak ka raasta. Aap(saw) ne farmaya: jisne Hamare isDEEN me apni taraf se koi nayi cheez paida ki, jo is me se nahi hai toh wo MARDOOD hai (yani wo DEEN se khaarij hai), har nayi cheez (jo DEEN me paida ho) BIDDAT hai aur har BIDDAT, gumrahi hai aur har gumrahi, JAHANNAM me lee jaati hai. >Bukhari:2696, Muslim:1718, Nasai:3/188 Aap(saw) ne farmaya: jisne BIDDATI ka saath diya (uski izzat ki), usne DEEN ko giraa ne me madad ki (usne ISLAM ko giraa diya). >Baihaqi Aap(saw) ne farmaya: jisne BIDDATI ko PANAAH di, us par Allah ki LAANATbarasti hai. >Muslim:4876 Aap(saw) ne farmaya: Allah Taala, BIDDATI ki namaz, roza, hajj, zakaat, kisi bhi amal ko kabool nahi karta. >ibn Majah:49 Aap(saw) ne farmaya: Allah Taala, BIDDATI se tauba ki taufeeq cheen leta hai. >Tabrani Yani usko tauba ka mauqa hi haasil nahi hota, kyu ke wo in BIDDATO ko neki samajh kar... kar raha hota hai, wo marr te dam tak tauba nahi karta,isliye tamaam BIDDATO se bacho. BIDDAT jo hai, ye SHIRK ke baad sab se boori aur qhatarnaak hai. SHIRK aur BIDDAT se bacho aur TAWHEED aur SUNNAT ka ilm haasil karo. Imam Malik R.A
Posted on: Mon, 02 Sep 2013 16:51:14 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015