BLISSFUL REVISION OF HOLY BLESSINGS ON DAY 1, 1ST MARCH,14 - TopicsExpress



          

BLISSFUL REVISION OF HOLY BLESSINGS ON DAY 1, 1ST MARCH,14 HARYANA NIRANKARI SAMAGAM AT REWARI Dhan Nirankar ji, Saints with great pleasure ONCE AGAIN here i am sharing Huzur Baba jis Blessings of day 1, 1st March,14 in Haryana Regional Nirankari Sant Samagam at Rewari. His Holiness Satguru Baba Hardev Singh ji Maharaj Jis Blessings At Rewari ;- Sadh Sangat Ji Prem Se Kehna Dhan Nirankar Ji 1. Sadh Sangat Aap Sabhi Hariyana Prant ke Prantiy Samagam ke avsar par upasthit hain jaha pehli baar hi Samagam ka aayojan hua hain. Pichli dafa Samlakkha mein Samagam Grounds par hi Samagam ka Aayojan hua tha. Uss ke baad aaj Yeh Bhavya roop bana hain. Jaha Shraddrhra, Prem Ke sath aap sabhi upasthit hue hain. Bhakt sthan sthan par aise hi yogdan dete chale aa rahe hain. Naye varsh mein hariyane ke kuch sthano ke sath sath UP, MP aur Maharashtra ke kuch Sthan aur Mumbai mein Maharashtra ka Prantiy Samagam hua fir Goa, Hubli , Bangalore, Hyadrabad, Hingoli, Akola, Amravati, Nagpur Naye varsh ke inn 2 mahine mein inn sthano pe jane ka mauka mila. Jagah Jagah par Bhashaye badlati rahi. 2. Bhashaye koi bhi ho, Santo ka sandesh sab ke liye sarv sanza hain. kintu Insan Bhasha, Nasl, Rang, Veshbhusha mein ulaz kar reh jate hain. Lekin Santo ka sandesh Harr Insan ka uddhar ho iss liye hota hain. Satyug se lekar aaj tak Santo ne Universal Message diya. Yeh Universal hain kyun ki iss ka sidha naata Aatma se hain. Aatma sab mein hain fir woh chahe American hain yaa Chinese hain. 3. Aatma ka ek hi strot hain Parmatma. Kaha bhi hain Vahid ek hi allha, There is only one god Ek ki hi ansh Aatma ki joh ghat ghat mein basti hain. Lekin Agyanta ke vash insan Satya ko uss roop mein leta nahi. Aur Bhasha, Rang Nasl inn Diwaro mein padkar apne aap ko vibhajit karte hain. Aur yeh Diware hi Keher dhate hain. 4. Universal Outlook Najariya banane ke liye, Sarvyapi ka harr aatma bodh kare tabhi Universalism sthapit ho sakta hain. Varna kahi Ism hain. Kahi Socialism, Communilism yeh sab Universalism nahi. Lekin jab Universalism aa jaye toh baki sare issms humare liye badha nahi banega. 5. Communilism yane dharm ke naam par batware, Unhone Dharm ke marm ko nahi jana, unhone universalism ko jana hi nahi iss liye zagde hain. Kabir ji ne iss universalism ko jan kar yeh kaha Kashi Kaaba Ek Hain, Ek Hain Ram Rahim, Maida Ek Pakwan Bahu, Baith Kabira Jim Unhone jana joh kann kann mein hain woh Ghatt Ghatt mein bhi hain. 6. Santo ne Harr Yug Harr daur mein harr roop mein, Dir woh roop Bhagwan Ram , Bhagwan Krishna, christ, Mohhmad Paigambar Sahab Sab ne ek hi paigam Diya Universalism ka. Sare Sansar mein ekta dekhne ki chahna thi uss ke liye unhone kitne kitne Yogdan aur Balidan diye. Insan ne isse jana nahi aur samza bhi nahi. Aur Na samzi mein hi woh saari umar bita deta hain. Empire build karna, Shashk ban jana iss liye woh apne aap ko Suzwan mante hain lekin basic mein hi samaz nahi. Insan sacchi daulat ko tyag ke Zoothi daulat ko apnane mein lage rehte hain. Yeh Kalyan ka marg nahi. Kalyan ke marg mein yeh samaz hoti hain ki Patmatma ek hain uss ki hum sab santan hain. Aise bhavna walo ko hi Suzwan mante hain. Aise santo ka failaw hi Dharti ke liye Vardan hota hain. 7. Chorh de Vair ka rasta aur Pyar Bante chale jaye. Yeh na dekhe ki hum , Bhasha yaa kom ke karan apna hain. Pyar ka Yeh paimana nahi. Aise mein toh pehle pyar ho ga hi nahi aur hua bhi toh ek hadd tak hi rahega. Insan parivar ko bhi prem ke liye preference nahi deta balki woh apne aap se hi pyar karta hain. Woh keval aurr keval apne upar kendrit hote hain. Yaha Universalism ki baat ho rahi hai aur kahi par insan apne aap mein hi dooba hain. Desh ko bhi bech khane ka bhaav rakhte hain. Santo ne yeh Samaz di. Individually mein bhi shoshan na kare, Mulk ke liye bhi Dango se baaj aaye. Sansar ko bhi uss drishti se dekhe ki saare hi Parmatma Iswar Nirakar ke bande hain yehi bhav humare bane rahe. 8. Joh sansar mein ho raha hain wohi hota rahe toh humare Jivan mein shanti nahi aayegi. Dange Fasad yeh hote aaye hain. Kahi par toh yeh Bhaav tham jaye. Jaise Bekabu Nadi mein Pani aa jata hain toh woh apne bahav mein sab kuch nasht karke aage nikal jata hain. Jaise Hum ne Uttarakhand mein bhi dekha. Sansar mein Yeh bahav joh nikal raha hain khudgarji wala, Sankirnta wala agar behta rahe toh kuch bachega nahi. Iss mein apna bhi aur auro ka bhi nuksan hain. Aur agar yeh Baat samz mein aaye toh apne sath sath auro ke liye bhi vardan ban jayenge. 9. Joh Andheri aur Ujale ke pratik hain chahe usko Prem aur Aehnkar kehle. Toh Mahtmaone kaha ujale wale pehlu ko chuna toh Vivek Wisdon wale ho gaye. Aur jisme wisdom nahi jisko hum murakh kehte hain woh galat hi chunega. Ek chunana humne wohi hain jisme apna aur auro ka bhala hain. Santo ke issi sandesh ko aaj bhi dohraya ja raha hain. Yeh tum par nirbhar karta hain. Hariyan shabd ke mayne abhi bataya gaya toh daas ke mann mein dhyan aaya Har yaa Na Har Iss bhavna ko Har le ya naa har le Nahi Harr liya toh Kehte hain Re wadi. Jaise Haryanvi mein R ko D Kehte hai jaise ki Gadam gadam jalebiya kha lo Toh jab Har liya toh ussi ke upar Re Wari jate hain sant jan. 10. Sabka Bhala aur Kalyan karne ka rasta sant jan batate hain. Bhala aur Kalyan uss ka hota hain joh Amolik Janm ko pa kar Satya ko Aadhar bana lete hain. Iss Mann ko Mandir Bana lete hain. Sahi Mayno mein unka rutba uncha hota hain. 11. Yehi Mahatma Jatan aur Prayas karte aa rahe hain. Joh uss ki importance ko samzta hain. Woh thandi fuwar ka roop ban jata hai. Aise vachan aaj humne chote Baccho se bhi shravan kiye. Sab ne yehi sandesh diya, iss Satya se Judne ki prerna di. Woh Roshni ka roop ban jate hain. Iss pandal mein Halogens jal rahe hain kyun ki unkibtaar judi hain. Iss liye jud jao strot ke sath jiss se aanad aata hain. Humare Jivan ka roop apne se jyada dusre ka dhyan rakhne wala ho. Aise hi roop bante raheniss mein failwa aata jaye. 12. Dass khushi jahir karega joh Samagam mein aa kar aap se mil kar prapt ho raha hain. Iss Saal Pehla prantiy samagam Maharashtra aur abhi Hariyana mein aur agle weekend mein Rajsthan ka samagam hona hain. Toh yehi jatan hota hain ki sabhi iss gyan ujale konprapt kar paye Sadh Sangat Ji Dhan Nirankar ji. Seeking Forgiveness Humbly with Love, Charandhool, Pali Noor(Tracy)
Posted on: Wed, 12 Mar 2014 22:50:34 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015