Baap / Father / Waalid =============== ========= Maap ke baare - TopicsExpress



          

Baap / Father / Waalid =============== ========= Maap ke baare mein hum bahut kuch sunte aaye hain, lekin Islam mein Maa ke saath-saath Baap ko bhi bahut izzat aur pyar karne ke liye kaha gaya hai, dekhiye kya kehta hai islam, Baap ke baare mein - (1) Jis insan se uska baap naraz hota hai, Allah bhi us insan se naraz hota hai. (2) Maa agar jannat hai to baap jannat ka darwaza hai. Matalb agar maa ki khidmat karke jannat kama bhi li to tab tak andar na ja sakoge jab tak baap bhi raazi na ho. (3) Baap ka dard aur mohabbat tabhi pata chalti hai jab insan khud baap banta hai. (4) Jite ji Maa-Baap ki itni kadar nahi hoti lekin jab dono ka intekaal ho jata hai tab samajh aata hai ki humne kya cheez kho di. (1) Baap ki Izzat Karo Taake Tumhari bacche Tumhara izzat Kare (kyonki jesa tum apne baap ke saath karoge, wesa hi tumhare bacche tumhare saath karenge. (2) Baap Ki Izzat Karo Taake Iss Se Fayda Utha Sako. (kyonki islam mein Baap ki izzat karne ko kaha gaya hai, aur islam ki kisi bhi baat mein nuksaan nahi) (3) Baap Ka Hukm Maano Taake Khush Haal Reh Sako. (Baap har kaam hamari bhalai ke liye hi kehta hai, chahe wo humko thik lage ya na lage, isliye baap ka kehna maanna chahiye) (4) Baap Ki Sakhti (gussa) Bardash Karo Taake Kaabil Ban Sako. (Baap hamari acchai ke liye hi humko daanta hai kyonki usne humse zyada duniya dekhi hoti hai) (5) Baap Ki Baate Gour Se Suno Take Dusro Ki Na Sunni Pare. (Baap ko hamase zyada tajurba hota hai) (6) Baap Ke Samne Uncha Mat Bolo Warna Allah Tum Ko Nicha Kar Dega. (7) Baap Ke Samne Nazren Jhuka Kar Rakho Taake Allah Tum Ko Duniya Mein Buland Kare. (8) Baap Ek Kitaab Hai Jis Par Tajruba Likha Jata Hai. (9) Baap Ke Aansu Tumhare Samne Na Gire Warna Allah Tum Ko Jannat Se Gira Dega. (10) Baap Ek bahut accha hifazat karne wala hai Jo Puri Zindagi Khandan Ki Hifazat Karta Hai (Allah ke hukm se) (11) Khush-Naseeb Hain Wo Log Jinke Maa-Baap Zinda Hain! Wo Khidmat Karke Allah Ke Yahan Apna Martaba Badha Len Aur Jinke Maa-Baap ka intekaal Ho chuka Hain Wo Unki Taraf Se Sadqaat Karen, Khairaat Karen Aur Unke Liye Duayen Karen! Allah Aage Unke Darjaat Buland Farmayen Aur Hamen Iss Shariat Ke Masle Mein Sahi Samjh Ata Farmaye. !! Ameen Summa Ameen Ya Rabbul Aalameen!!
Posted on: Sat, 22 Jun 2013 06:51:34 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015