✦...............♥ Bin Daikhe Iman Lane ki Fazilat - TopicsExpress



          

✦...............♥ Bin Daikhe Iman Lane ki Fazilat ♥...............✦ ●◗► Qabile Fakhr: Hamare liye sab se bada Sharf aur Aezaaz ye hai ke ham Allah Subhanahu Wa Taala ke bande aur Muhammad RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke Ummati Hain. Anas bin Malik (RadiyAllahu Anhu) Narrated that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: I wish that I could meet my brothers. The Sahabah (companions of the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam) asked: Arent we your brothers?” He replied: You are my Companions, but my brothers are those who will believe in me without having seen me. [Musnad Ahmad and Al-Albani graded it saheeh in al-Silsilah al Saheehah # 2888] Urdu Translation: Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Mujhe Tamanna hai ke main Apne Bhaiyyon se Milun Sahaba RadiyAllahu Anhum ne Arz kiya: Kya ham Aap ke Bhai nahi hain? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Tum to mere Sathi ho, Mere bhai wo Hain jo mujhe daikhe baghair mujh par Iman layenge. [Musnad Ahmad bin Hanbal :: 12339, 12579 :: and Al-Albani graded it saheeh in al-Silsilah al Saheehah # 2888]
Posted on: Wed, 13 Aug 2014 09:35:13 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015