Bismillah-Hir Rahman-Nir Rahim Hadith: ( jo rozedar ho) wo na - TopicsExpress



          

Bismillah-Hir Rahman-Nir Rahim Hadith: ( jo rozedar ho) wo na to biwi se humbistari karey aur na fahash (buri) aur jahalat ki batein kare Abu Hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Roza Dojakh se bachney ke liye ek dhaal hai isliye ( jo rozedar ho) wo na to biwi se humbistari karey aur na fahash (buri) aur jahalat ki batein kare aur agar koi shaksh us sey ladey ya usey gaali de to uska jawab sirf ye kahna chaahiye ki main Rozedar hun do baar (kahey) , us zaat ki kasam jiskey haath mein meri jaan hai Rozedar ke munh ki Bu Allah ke nazdeek musk ki khushbu se bhi jiyada pasandeeda aur pakeeza hai ( Allah taala farmata hai) banda apna khana peena aur apni Shahwat meri liye chodta hai Roza mere liye hai aur main hi iska badla dunga aur nekiyon ka sawab bhi asal neki ke 10 guna hota hai Sahih Bukhari, Vol 3, 1894
Posted on: Thu, 11 Jul 2013 10:32:24 +0000

Trending Topics



"sttext" style="margin-left:0px; min-height:30px;"> Prigl Rejs IX Dnes proběhne poslední předprázdninový rejs.
PERRY MIDDLE SCHOOL ANNOUNCEMENTS Good Morning Perry Middle

Recently Viewed Topics




© 2015