Corrupt politicians aur bike hue media se toh barpaaya hai desh. - TopicsExpress



          

Corrupt politicians aur bike hue media se toh barpaaya hai desh. Inse koi bhi desh ke bhale ki ummeed nhi ki jaa sakti, yeh kewal desh ko lootne ke hi programs banaayenge. Lekin yeh mutthi bhar bhramit karne waale log hain. Public ko ab tak samajh lena chaahiye. Meri deshvaasiyon ko kehana hai ki time nikal jaane ke baad Arvind ko recognize karna, samajhna aur unki statue ko foolmaala pehanane se desh ko koi faayda nhi hoga. Uski strenghts, capabilities skill of identification and solving the problems ko pehchaano aur iss hava mein apani ahutee dwara uski shubh kaam mein madad karo. Apani ego ko satisfy karne ke liye faltu ki firkaparstee aur just for oppose karne ke liye liye oppose karne se desh aur samaaj ka bhala nhi ho sakta. Picchle 67 saal se yehi ho raha hai. Ab bharat ke kshitij par ek bahut hi capabale aadmi ka udaya hua hai, jo paak saaf niyat ka hai, jiss mein adamya saahas hai, uski leadership mein desh ko khush haal banaao, desh mein dange aur anti-developmental acts ko band karaao aur fir dekho India kahaan se kahaan pahunchta hai. Agar aisa nhi karte ho toh desh ka ahitt ussi tarah kar rahoge, jaise picchle 67 saal se kar rahe ho. Mujhe toh achambha IIT graduate Arnab par hota hai ki usne bhi desh ko bhrumit karna shuru kar diya hai, apane pet bharne ke liye apane zameei ko bech diya. IIT and IIM ke logon ka charitra aisa nhi hota, I guess he is black sheep.
Posted on: Sat, 16 Aug 2014 23:00:47 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015