"EK BACHPAN KA ZAMANA tha" Khushiyo ka khazana tha.. Chahat chaand - TopicsExpress



          

"EK BACHPAN KA ZAMANA tha" Khushiyo ka khazana tha.. Chahat chaand ko paane ki. dil titli ka diwana tha. Khabar na thi kabhi subah ki aur na hi shaam ka thikana tha.. Thak haar ke aana school se. Par khelne bhi jaana tha.. Dadi ki kahani thi. Pariyo ka fasana tha.. Barish me kagaz ki kashti thi. Har mousam suhana tha. Har khel me saathi the.. Har rishta nibhana tha.. Gam ki juban na hoti thi. Na hi Zakhmo ka Paimana tha.. Rone ki wajah na thi. Na hasne ka bahana tha. Kahan wo Daur aur Kahan Ye zindagi, Kitna pyara ..BACHPAN KA ZAMANA tha !
Posted on: Wed, 11 Sep 2013 16:09:38 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015