(Extracted from King Of Romance - Hasrat Jaipuri Group) Kya - TopicsExpress



          

(Extracted from King Of Romance - Hasrat Jaipuri Group) Kya poem / gaana likha hai by Hasrat Jaipuri saab ji in 1964. Bohot hi meaningful lyrics. A Poem in Stone....xxxxx Kyaa hai gam-e-duniyaa, usey khaaq me daal, Mandave taley garib ke, do phool khil rahey..xxxx Movie Geet Gaya Pattharon Ne aur kya delivery hai by the great C H Atma ji with Composer Ramlal ji.. Ho saath agar pehloo mein eek mast-e-shabaab Eek jaam ho aur haath me shero ki qitaab Eek saaz ho aur saaz pe gaati ho hasina Baan jaye yeh viranaa baharo kaa jawaab Mandave taley garib ke, do phool khil rahey hai Ai raat tu na jaanaa, ai chaand tu na jaanaa Ye naubahaar, chupke se dekho, nazarey na tum milaanaa Mandave taley garib ke, do phool khil rahe hai Mausam-e-ishq hai, zaraa hosh sambhaal Haasil tujhe mahbub hai, armaan nikaal Kuchh baat to karle, ke nahi kaal ki khabar Kyaa hai gam-e-duniyaa, usey khaaq me daal Mandave taley garib ke, do phool khil rahey hai Ai raat tu na jaanaa, ai chaand tu na jaanaa Ye naubahaar, chupke se dekho, nazarey na tum milaanaa youtube/watch?v=SCdqKkNgg0E
Posted on: Thu, 02 Oct 2014 03:45:04 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015