Fiza Muattar Khila Munnawar Sama Hai Masroof-E-Kajkalahi Zamin - TopicsExpress



          

Fiza Muattar Khila Munnawar Sama Hai Masroof-E-Kajkalahi Zamin Ke Anchal Ki Har Shikan Mein Simat Rahi Hia Jahan Panahi Hajar Shajar Mast-O-Mehwe-E-Nagma Bashar Bashar Khush Nigahi Ghata Hai Mashgool Aks Bandi Ke Raks Kerte Hain Murg-O-Mahi Mizaj Gulbanang Aqal Chonke,Duroord Ki Jaltarang Jaage Hawa Rag-E-Jaan Ko Cheerti Hai,Ali Wali Ke Malang Jaage Woh Phool Mehke,Woh Rang Dehke,Tewar Chehke To Mast Behke Kali Jo Chatki Hawa Ko Khatki Chaman Se Atki Ke Shak Mehke Hayat Lipki Palak Na Jhapki Hazar Jalwoon Ke Pass Reh Ke Ghata Se Chin Ker,Fiza Mein Tan Ker,Woh Chand Nikla Yeh Baat Keh Ker Mughe Na Rook Ke Ban Sanwar Ker Hazar Mehshar Jaga Raha Hoon Hai Jis Ki Ulfat Ka Daag Dil Mein Ussi Ki Shadi Mein Ja Raha Hoon Wajooh Un Ka Mera Taruuf,Yeh Meri Pehchan Hai Jahan Mein Inhi Ke Dam Se Yeh Roshni Hai Yeh Soorat Jaan Hai Jahan Mein Inhen Bana Ke Mein Surkhuro Hoon,Yeh Mera Irfan Hain Jahan Men Daleel-E-Emaan Poochte Ho,Yehi To Emaan Hain Jahan Mein Inhi Ki Khalkat Se Hai Yeh Khalkat Na Jagte Yeh Jahan Soota Inhi Ki Khatir Banae Dunya Jo Yeh Na Hote To Kuch Na Hota Inhi Ke Chasham Karam Se Bigre Ho Muqaddar Sanbhal Gae Hain Kabhi Mein In Se Behal Gaya Hoon Kabhi Yeh Mughe Se Behal Gae Hain Meri Riza Ke Azeem Tajir Mere Irade Badal Gae Hain Falak Pe Ik The Zamin Pe Aa Ker Panch Behroon Mein Dhal Gae Hain Inhi Mein Do Behar Mil Rahe Hain Tamam Aalam Hia Shad Mera Ke In Mein Ik Lakht-E-Mustufa Hai To Dosra Hana-E-Zaad Mera Zamin Batha Misal-E-Jannat Uroos Alam Bani Hoi Hai Usool-E-Din Ke Sutoon Hain Muhkam,Haya Ki Chadar Tani Hoi Hai Har Aik Zarre Ki Aasmanoon Se Ajj Ki Shab Thani Hoi Hai Kiran Kiran Ik Hareer Ismat Ke Anchalon Mein Chani Hoi Hai Ladi Hoi Hai Hina Ki Kaliyon Se Ajj Tooba Ki Dali Dali Ali Ki Khatir Nabi Ke Dar Per Ajj Tauheed Khud Sawali Idher Falak Per Harem Wehdat Mein Noor Ka Saiban Saja Hai Sabhi Farishte Talab Hoi Hian Har Aik Noori Jhuka Khara Hai Idher Se Shams-O-Najoom-O-Sayyargan Ka Bhi Qafla Chala Hai Suno Suno Kaun Nooriyon Ko Khuda Ka Paigham De Raha Hai Woh Koun Khush Bakht Hai Ke Iss Dam Hamari Rehmat Ko Aazmae Ali Ki Shadi Ka Naam Bar Bin Ke Jo Dar-E-Mustufa Pe Jae Yeh Hokum Sun Ker Barhe Farishte Ke Apni Kismet Ko Aazmaein Saroon Pe Dastar Zehad Rakhi,Durust Hone Lagin Qabaeen Huzoor Wehdat Tharak Rahi Hain Gale Mein Sehmi Hoi Sadaien Idher Se Jibreel Uss Taraf Shams Le Ke Aae Kae Duaiyen Tu Koun,Jibreel Ik Taraf Ho Nae Payami Ko Bhejna Hai Janab Sooraj Hoon,Ik Taraf Ho,Tughe Salami Ko Bhejna Hai Sada Yeh Aae Kahan Hai Zehra,Ke Ajj Zehra Ke Dar Pe Jaen Hamara Paigham Intihae Adab Se Ja Ke Inhen Sunaiyen Na Dastakein De,Na Aahatein Hoon,Na Be Adab Ho,Na Muskurae Bus Iss Tarah Jae Jaise Momin Khud Apne Khaliq Ke Dar Per Aae Nabi Ki Chaukhat Pe Bosa De Ker Kahe Ke Abb Yeh Usool Hoga Jo Sar Se Paoon Talak Khuda Jaisa Ho Woh Zauj-O-Batool Hoga Falak Se Zehra Utar Rahi Hai Jaise Ilham Dil Mein Aae Ke Jaise Ik Be Riya Namazi Bari Aqeedat Se Hajj Ko Jae Badan Pe Oarhe Qabae-E-Ismat Laboon Pe Sal-E-Ala Sajae Woh Jar Aha Hai Ke Jasise Qaari Gilaf-E-Quran Pe Sar Jhukae Nasha-E-Mawaddat Ki Mae Ka Zehra Ke Dil Mein Shayad Sama Gaya Hai Woh Jar Aha Hai,Woh Aa Raha Hai,Durood Parh Lo,Woh Aa Gaya Hai Yeh Anbiya Hain Woh Auliya Hain Ali Wali Ki Baraat Dekho Khizar Chirakhta Hai Har Barati Ke Rukh Pe Aab-E-Hayat Dekho Nashe Kea Lam Mein Jhoomti Hai Shaur Ki Kainat Dekho Yeh Bazam Dekho,Yeh Log Dekho,Yeh Rang Dekho,Yeh Raat Dekho Kae Baharain Guzar Gae Hain,Khila Na Aisa Chaman Jahan Mein Kahan Khudai Mein Aisa Nausha Kahan Hai Aisi Dulhan Jahan Mein Lo Ho Chuka Aqad-E-Murtuza Ka,Kaho Ke Sal-E-Aala Mubarak Ali Wali Ko Nabi Ke Gher Mein Mila Hai Jo Martaba Mubarak Tamam Nabiyon Ko Ajj Ki Shab Mila Hai Mushkil Kusha Mubarak Imam Apna Hamain Salamat,Nusairiyon Ko Khuda Mubarak Khuda Ka Din Baroor Huwa Hai Chaman Imamat Ka Khul Utha Hai Janab-E-Imran Ko Naboowat Ki Parwarish Ka Sila Mila Hai
Posted on: Mon, 07 Oct 2013 08:54:46 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015