Friends aao Haryana ki Bhartiyon par nazar dalen. Note:- Meri - TopicsExpress



          

Friends aao Haryana ki Bhartiyon par nazar dalen. Note:- Meri post ko kisi bhi case ka Judgment n samjhen kyon ki Judgment to Court hi dega. Kyon hue PTI ki sari Bharti radd ? Agar aap PTI ki single Judge ka Judgment padenge to kafi kuch samjh me aa jayega. Case ka CWP No. hai 15656 of 2010 jo ki High Court ki site par available hai. Supreme Court k Judgment k aadhar par PTI ki sari Bharti radd ki thi jis ko LPA No. 1555 of 2012 dawra challenge kiya tha or bhi bahut si LPA hai, jin ka Judgment 30-9-2013 ko aaya hai. Supreme Court k Judgment k anusar ek bar criteria nirdhrit kar k Bharti process shuru ho jaye to us ko bich me badal nhi sakte or PTI case me pahle 200 marks ka written test & 25 marks ka interview tha lekin bad me written test me dandali k karan written test ko radd kiya gaya tha or bad me kae bar badalav kiya gaya jis me interview k marks 25 se bada kar 30 kar diye gaye or interview k aadhar par hi dhandhali huyi or ye sare badalav Chairman ne kiye the yani HSSC ka faisala nhi tha kisi bhi badlav me kyon ki HSSC me Chairman k sath kuch Member bhi hain. Agar Bharti process me khami nhi hoti to shayad sirf unhi logo ka selection radd hota jin ka selection galat tha. HSTSB ka case PTI se alag kaise ? HSTSB case ki process me khami nhi hai or n hi HSTSB k gathan k process me khami hai. Dono hi parkirya ek process k tahat huyi hain. Punia Sahab par sawal hai lekin ye proof Court k samane nhi aaye ki HSTSB ki Bharti akele Chairman k decision k anusar huyi hain. HSTSB k process me ek hi khami thi ki interview 33 marks ka tha jis ki khabar 8 Mar ko chhapane k bad shayad selected candidates ki list me badalav aise kiya gaya taki interview agar 15 marks ka bhi kar diya jaye to bhi result par asar n pade kyon ki Jagbir Singh jis ne Pol Science me criteria challenge kiya hai us k interview me 17 marks hain or HSTSB ne shayad criteria es liye change nhi kiya kyon ki pahle hi PTI ki Bharti criteria change ki vajah se radd ho chuki thi or Mewat ka already result publish ho chuka tha, 15 marks ka interview Haryana Cadre ka karte hi Mewat wali list par case ho jata. HPSC ki Bharti kyon ho sakti hain radd ? HPSC ne bhi PTI case ki tarah Supreme Court of India k Judgment dated 10 May 1985 & 10 May 1991 ka violation kiya hai, jis me 10 May 1985 ka Judgment to Ashok Kumar Yadav V/s Haryana Sarkar k nam se HPSC k hi khilaf hai or fir bhi HPSC ne 60 marks ka interview lekar khub dhandali ki or unqualified in screening test ka bhi selection kar diya, jab ki Supreme Court k Judgement anusar 100 marks k criteria me interview k liye 15 marks hi ho sakte hain. Kya JBT (2009) Bharti bhi sari ho sakti hai radd ? JBT case me main hai farji angunthe wale yani Bharti process ko challenge nhi kiya hai jis karan se sirf farji par hi karyvahi hone k chance hain or JBT me bhi shayad interview 30 marks ka or 60 marks ka academic tha jo ki Supreme Court k uppar likhe dono Judgement ka violation hai lekin shayad criteria ko challenge hi nhi kiya hai es liye shayad sari Bharti radd n hokar sirf galat selected candidates hi effected ho sakte hain. 2005 me kaise hoti thi Bharti ? 2005 me 200 marks ka written test & 25 marks ka interview hota tha or jis me direct interview hota tha us me 20 marks ka interview & 80 marks Academic hota tha lekin bad me jyadatar Bharti direct interview lekar ki gayi jis me 25 marks ka interview & 50 marks ka Academic ya 30 marks ka interview & 60 marks ka Academic tha. HPSC ne to kamal hi kar diya written test lene k bad bhi written test ko ek bhi marks nhi diya or n hi Academic k liye marks diye gaye sidhe 60 marks k interview k aadhar par Bharti kar di. HSTSB case se kya hai umid ? Bahut se friends k negative views sunane k bad bhi mera Dimag yah manane ko taiyar nhi hai ki HSTSB ki Bharti par koe khatara hai. Mewat Cadre ki already joining ho chuki hai or Court ne joining par rok nhi lagayi thi, yani baki published results par bhi rok nhi thi or aisa nhi ho sakata ki published results wale join kar jayen or baki ka results HSTSB na de. Punia Sahab ki niyukti radd ho sakti hai or 4 Member me se ek ko Chairman bana kar results publish ho sakte hain or Punia Sahab ki niyukti radd hone se shayad HSTSB ki Bharti par koe asar nhi pad sakta kyon ki aap ko malum hai ki High Court k Judges ne majbur ho kar resign kar diya tha or un Judges dawra High Court me diye gaye Judgment radd nhi huye. Judgment tabhi radd ho sakta hai jab Judgment me khami ho or Bharti bhi tabhi radd ho sakti hai jab Bharti me khami ho. Friends mujhe to HSTSB ki Bharti me ek hi khami nazar aayi thi jis ka maine jikar kar diya hai or us khami ko HSTSB ne shayad dur bhi kar diya hai yah sambhavna bata di hai. Jai Hind.
Posted on: Wed, 02 Oct 2013 04:22:07 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015