GUSTAAKH KO IMAAM MAT BANAO أعوذ بالله من - TopicsExpress



          

GUSTAAKH KO IMAAM MAT BANAO أعوذ بالله من الشيطان الرجيم بسم الله الرحمن الرحيم Hazrat Saaleh bin khaiwaan ne hazrat abu sahlatussaaib bin khallaad (radiallahu taala anhu) se riwayat ki,Imam ahmed (alaihirrahmah) ne farmaya ke wo nabi akram (sallallahualaihiwasallam) ke ashaab se the, ke eik aadmi ne kuch logo ki imaamat ki, to qiblah ki jaanib thook diya aur rasoolallah (sallallahualaihiwasallam) deikh rahe the,chunaanche jab wo faarigh hogaya to rasoolallah (sallallahualaihiwasallam) ne farmaya ke ye tumhe namaaz na padhaya kare,uske baad us ne logo ko namaaz padhaane ka iraadah kiya to unhone mana kardiya aur rasoolallah (sallallahualaihiwasallam) ka irshaade giraami bataya,chunaanche us ne rasoolallah (sallallahualaihiwasallam) se is baat ka zikr kiya,to aap (sallallahualaihiwasallam) ne farmaya:Haa!! aur mere khayaal me aap ne farmaya beshak tum ne allah taala aur uske rasool ko aziyyat pahoonchaai hai 󾔃(Abu dawood sharif,jild 1,kitabussalaat,hadees no 479,page no,221)󾔃 Note:- 1) Gustaakh o beadab aadmi ko imaam na banao 2) Gustaakh o be adab chaahe ba sharaa aur kalma padhne wala kyu na ho,wo agar imamat kare phir bhi us ke peeche namaaz jaiz nahi. 3) Jis imaam ne faqat kaabe ko nahi,kaabe ki jaanib thook diya uske pechey namaaz padhne se huzur (sallallahualaihiwasallam) ne mana farmaya to jo imaam,kaabe ke kaaba huzur (sallallahualaihiwasallam) ki shaan me ye kahe ke nabi ko ilme ghaib nahi,zinda nahi,ikhtiyaraat nahi,noor nahi,hamare jaise bashar hai..to uske peeche kaise namaaz hosakti hai??? —
Posted on: Tue, 15 Oct 2013 11:09:31 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015