HAR HAR MAHADEV aap sabhi ka abhivadan hai ek katha-- swami ram - TopicsExpress



          

HAR HAR MAHADEV aap sabhi ka abhivadan hai ek katha-- swami ram krishn paramhans ji k samay dakshineshwar mein shri pratap hazaara naam k ek vyakti rahte the ,inhone sadhuon jaisa jeevan apna rakha tha. way kabhi kabhi calcutta ja kar paramhans ji k sath sat sang ka labh liya karte the. ek bar jab hazaara swami ramkrishn ji k sath kolkatta ja kar vapas aaye to apna angochha wahin ek vyakti k gharbhool aaye. swami ramkrishn ji ko jab pata chala to unhone hazaara say kaha--ajeeb bhulakkard swabhav hai hazaara aapka ,aise mein to aap prabhu ko bhi bhool jate honge. jo nityaprati sansaarik vyabhar mein sabdhan nahi rah sakta wah aadhyatmik kshetra mein kese saabdhani barat sakta hai? hazaara bole-nahi nahi swami ji bhagwan k bhajan mein leen rahne say mujhe kuch yaad he nahi rahta . ramkrishn ji samajh gaye ke hazaara swayam ke prashansha mein sadhu hone ka bhav kese. swami ji dukhi ho kar hazaara say bole--"hazaara tu dhanya hai jo thorde say jaap say he itna uper pahunch gaya ke tujhe sansaarik vishyon ke yaad he nahi rahti. ek mai tuchh prani hun jo din-rat bhagwan k charno mein he dhyan rahta hai kintu fir bhi aaj tak na kabhi apna batua bhula or na angochha" swami ji ke baat sunkar hazaara ko apni bhool ka ehsaas hua or unhone unsay kshama maangi. "
Posted on: Sun, 28 Jul 2013 05:52:28 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015