Happy Childrens Day To the child in our heart...!! Ek bachpan ka - TopicsExpress



          

Happy Childrens Day To the child in our heart...!! Ek bachpan ka zamana tha, jisme khushiyon ka khazana tha; chahat chand ko paane ki thi, par dil titli ka deewana tha. Khabar na thi kuch subah ki, na shaam ka thikana tha; thak haarke aana school se, par khelne bhi jaana tha. Maa ki kahani thi, pariyon ka fasana tha; barish mein kagaz ki naav thi, har mausam suhana tha. Har khel mein saathi the, har rishta nibhana tha; gum ki zuban na hoti thi, na zakhmon ka paimana tha. Rone ki wajah na thi, Na hansne ka bahana tha; Kyon ho gaye hum itne bade, Isse achha to woh Bachpan ka Zamana tha... Meenakshi
Posted on: Thu, 14 Nov 2013 13:19:57 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015