Hazrat Bara bin Aazib r.a. se rivayat hai ki hum baqee al garqad - TopicsExpress



          

Hazrat Bara bin Aazib r.a. se rivayat hai ki hum baqee al garqad mai aik janazah mai the ki Rasool Allah s.a.w bhi tashreef le aye aur aap beth gaye qabr khodi ja rahi thi aur hum is qdar khamosh aur bey his-o-harket bethe the goya ki hamare siro par parinde hain. App (S.A.W) ny 3 bar farmaya: Mai azaab qabr sy Allah ki panah chahta hoon. Phir farmaya k: Momin bandah jab akhirat ki tarf aa raha aur dunia se ja raha ho to is k pass aisy farishty aaty hain jin k chehray suraj ki tarah chamak rahy hoty hain in k pass jannat k kafan aur jannat ki khushbuyen hoti hain woh is k pass aa ker jahan tak iski nazar jati hai beth jaty hain aur farmaty hain Aye pak Rooh! Aa Allah ki magfirat aur raza mandi ki taraf! to woh rooh is tarh jism sy bahir aa jati hai jis tarha mashkeezay k mou sy pani ka qatra asani sy bahir aajata hai. Mulk-almout (mout farishta) ise pakar laita hai lekin yh farishty is k hath mai lamha bhar bhi nahi rehny daity hatta k issy paker laity aur jannat k kafan mai lapait ker jannat ki khushbo mai basa diaty hain. is rooh sy aisi pakeezah khushbo nikalti hai jaisi k zameen ki kisi aala aur pakeezah tareen kasturi ki khushbo hu farishty is rooh ko ley ker oper charh jaty hain aur farishto ki jis jamaat k pass sy bhi in ka guzr hota hai to woh kehty hain k yh pakeezah rooh kis ki hai? farishty kehty hain k yh falan ban falan ki rooh hai is khubsorat naam k sath is ka ziker kerty hain jo dunia mai is ka sab sy acha aur khubsorat naam hota hai hatta k issy ley ker asmaan tak ja pohanchty hain aur asman k derwaza per dastak daity hain to darwaza khul dia jata hai. her asman k malaika muqarribeen agly asman tak alwida kerny k liye is k sath jaty hain hatta k is asmaan tak pohanch jaty hain is mai Allah Taala ki zaat grami hai. Allah Ezz-o-Jal irshad farmaty hain Mery banday k naama aamaal ko Elliyeen mai likh do. issy zameen ki tarf lota do mai ny inhen zameen sy paida kia zameen mai lotaon ga aur dobarah phir zameen hi sy inhen nikalon ga chanacha is ki rooh ko is k jism mai lota dia jata hai is k pass do farishty aaty hain jo issy betha laity hain aur woh is sy pochaty hain tera Rab kon hai? yh jawab daita hai k Mera RAb Allah hai farishty pochaty hain Tera deen kia hai? yh jawab daita hai mera deen islam hai. Farishty pochaty hain woh admi kon hain jihen tumhari taraf bheja gaya tha? yh jawab daita hai Woh Allah k Rasool hain. farishty pochaty hain tumhen kaisy ilm howa? to yh kehta hai Mai ny Allah ki kitab ko parha is per emaan laya aur is ki mai ny tasdeeq ki. asmano sy aik munadi (elaan kerny wala) yh elaan kerta hai is ny sach kaha hai is k liye jannat ka bister bicha do. jannat ki tarf is k liye aik darwazah khul do App ny farmaya es k liye jannat ka bister bicha do. jannat ki taraf is k liye aik darwazah khul do app ny farmaya es sy jannat ki pakeeza hawayen aur khushbayen is k pass aana shuro hu jati hain aur tahid nazar is ki qabr ko kushadah ker dia jata hai is k pass aik admi ata hai jis ka chehra bohat khubsorat aur jis ki khushbo bohat pakeeza hoti hain aur woh kehta hai tumhen bisharat hu is cheez ki jis sy tum khush hu jao yh hai tumhara woh din jis ka tum sy wadah kia jata tha yh mard momin pochata hai tum kon hu? tumhara chehra woh hai jo kher laya hai. yh jawab daita hai k mai tumhara amal saleh hon. yh kehta hai Aye mery Rab Qayamat qaeem ker dey ta k mai apny ahl aur maal k pass loat jaon. Ahmad 4 : 287, 295
Posted on: Sun, 16 Feb 2014 12:49:33 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015