Hzrt Umar(ra) Hzrt Ali(ra) Hzrt Hussein(ra) ko ye Aizaaz hasil hai - TopicsExpress



          

Hzrt Umar(ra) Hzrt Ali(ra) Hzrt Hussein(ra) ko ye Aizaaz hasil hai k aap loogo ko Namaaz perhtay howay qatal kya gaya lekin Osman ibn Affan(ra) wo Sahabi e Rasool(saw) hain jin ko ye Aizaaz hasil hai k aap he k daur Khilafat me Quran jama krwaya gaya ..... Osman(ra) ki Khilafat se phelay Quran aik complete book ki form me aik jagah mujood na tha .... kuch Quran kisi k pas aur kuch kisi k pas .... aksr Sahaba(ra) ne us ko hifz kya howa tha .... is k ilawa Persians k khilaaf aik jang me kai Hafiz e Quran Sahaba(ra) Shaheed ho gaye tou Osman(ra) ko ye khiyaal aaya k ager is he terhaan sb khatam ho gaye tou Quran bhi ghayab ho jaye ga lehaza Osman(ra) ne sb Sahaba(ra) ko jama kr k khukum diya k sb il kr Quran ko aik book ki form mein aik jagah likh lo ..... aur is book ko aam kr do ye mujoda Quran jo hum aur aap perhtay hain ye Suhoof e Osmani b kehlata hai coz Osman(ra) ki khilafat se phelay ye Quran aik book ki form me nahi tha ..... kisi ne trees ki chaal pr likha howa tha kuch aayaat ko, tou kisi ne just yaad kr rakha tha, tou kisi ne kisi aur terhaan apnay pas save rakha tha .... aur completely aik jagah bhi mehfooz nahi tha is ko Osman(ra) k hukum pr aik proper book ki shakal di gai !!!!! aur Osman(ra) ki shaan dekho k jb Osman(ra) ko Talwar maar kr shaheed kya gaya tb b aap Quran he perh rahay thay !!!!!! Hadith: jo jis haal me mer-ray ga wo us he haal me uthaya jaye ga !!!!! yani Osman(ra) ki shahadat ki Gawahi khud Quran dey ga !!!!! Osman(ra) ka aik qoul bhi bara mashoor hai jo aap ne lazmi suna hoga: tum ne behtereen shakhs wo hai jo Quran seekhay aur dosron ko seekhaye !!!!! Osman(ra) ki pori life Quran k gird ghoom gai hatta k shahadat k waqt bhi Quran perh rahay thay !!!!!! wo Quran jo perhtay howay Osman(ra) ko qatal kya gaya aaj bhi Turkey k Museum me dekha ja sakta hai .... khoon ki wajah se us k pafi pages black ho gaye hain .... lekin abhi b wo Quran same khoon lagi halat me Turkey Istanbul me rakha howa hai !!!!!! Nabi(saw) ki Hadees: Quran perha karo kyon k ye youm e Qiyamat k din apnay perhnay walay ki sifarish karay ga !!!!!!! Osman(ra) ki khilafat k last 2 years me aik fitna uthta tha aur kuch loog jo apnay aap ko Ali(ra) ko wafadaar kehtay thay un loogo ne Osman(ra) ko qatal kr dala tha ..... aur phir 5 saal tk Ali(ra) walon ki aur Osman(ra) walon ki wars chalti rahi .... jo last me Osman(ra) k maanay walon ne jeet li !!!!!! lekin Islam k 1400 saal ki tareekh me Ali(ra) k naam lewa loog apni koi hukumat qaim krnay me nakaam rahay hain jb k Osman(ra) k naam lewa loogo ne Saltanat e Osmania qaim kr li thi aur 600 saal tk Saltanat e Osmania Asia Europe Africa pr rule krti rahi !!!!!!
Posted on: Wed, 04 Dec 2013 01:04:11 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015