I have read that comment in a post... kindly share your opinion - TopicsExpress



          

I have read that comment in a post... kindly share your opinion too after reading this... Long march ka sab say ziyada Nuksaan PTI ko hoga or sab say ziyada faida N-League ko March ki kamyabi aur nakaami dono say hi N-League ka faida ziyada nazar ata hay. Reasons:- 1) Ager Long march hi nakaam hogaya to bhi PTI ki sakh ko bohat bara dhachka lag sakta hay. Jis terah PTI long march ko lay ker aik bohat bara image impose ker rehi hay yahan tak kay tv par adds ka sahara liya ja reha hay takay awam ko convince kiya ja sakay. Jiski wajah say aam admi ki nazar main aik Jang ka sa samaan paida ho chukka hay. Yeah Jung ager PTI haar gayi to uska political career khatam hokar bikharne ka dar maujood hay. Aur ager jang PTI jeet jaye to bhi agle di gayi reasons kay mutabik long term faida n-league ko hi hoga. 2) Ager PTI kamyab ho jati hay aur N-League ki hakoomat khatam ho jati hay, uske baad Nigran hakoomat ka intekhab kaise hoga ya election commission ko kaise handle kiya jaye ga, kiya juidiciary ka nizam bhi badla jaye ga? In halaat main ager dobara election hotay hain to bohat had tak mumkin hay kay N-League doobara asani say jeet jaye gi. Is dafa n- League balochistan aur Sindh say bhi ziyada seats nikalay gi aur PTI apne soobay KPK say bhi seats kho day gi. Jis ka result yeah hoga kay PTI ki siyasat khatam ho jaye gi... 3) Ager election system say N- League ko bahir kar diya jaye, to uske baad bhi PTI majority nahi lay sakay gi. Uski wajah yeah hay kay PTI nay ODD coalitions bena rekheen hain, jaise kay Sheikh Rashid, Chaudhary Baradaran, Altaf Hussein etc. N-League ko election say hata kar yeah parties apas main iqtedar ki jang larain geen. Aur PTI kay voters in collaboration ki wajah say confused hain, woh aur confuse hokar tootain gay jiska nuksaan PTI ko hoga. Nateeja yeah kay aik coalition government hi banay gi jisko girana N-league kay liye 1 maheene ki baat hogi. Mulki masail ko dekhte hue, N-League 6 months ka wait kere gi aur aik long march ya tahreek say PTI ya koi bhi new government ko gher bhej de gi. 4) Ager Marshal Law lag jata hay, to bhi iska ilzam PTI par lagay ga aur awam aur doosri political parties PTI ka sath nahi daingeen. PTI ki apni political collaborations bhi nahi chahteen kay marshal law kisi soorat lagay. PTI ko marshal law ki ziyada perwa nazar nahi ati mager history gawah hay kay marshal law 10 saal to araam say nikalta hay. Tab tak na mohtaram Imran Khan honge na Nawaz Sharif Sahab. 5) Ager PTI ko long march say koi result nahi milta, ya jaisa kay PTI ki press conferences and jalson main police ko, judiciary ko, politicians ko, aur deegar mulki idaron ko sakht tanqeed aur ilzamat ka nishana banaya ja reha hay, uski wajah say PTI supporters main poore system kay khilaf bagawat aur nafrat payi jati hay. Aisa bohat had tak mumkin hay kay yeah supporters law and order situation ko kherab kerne ki koshish kerain ya government buildings ko nuksan pohanchanay ki koshish kerain. Aisi sooratehaal main aik civil war ki situation paida ho sakti hay jis ki wajah say ya to marshal law lag jaye ga, ya phir PTI supporters ko army ki golion ka samna karna paray ga. PTI kay liye behtreen rasta yehi tha kay apna sara focus, human capital, resources, funds aur efforts, Punjab par aur hakoomat ko giranay ki bajaye KPK ko aik model soobay kay tor per paish kartay aur agle elections main jab election commission ki tashkeel di jati to wahan apni awaz bhi uthatay aur asar andaz bhi hotay. Laikin long term planning ki bajaye short term planning ko tarjeeh di gayi aur PTI ko aik Andhay kooain ki teraf dhakail diya gaya. Mujhe afsos hoga kay aik aisi party jo bohat kuch kar sakti thi, apne hi hathon say toot kar bikhar jaye gi… (Comment copy) #AzadiMarch #PTI #PMLN #InqilabMarch #Pakistan #14August #TUQ
Posted on: Sun, 10 Aug 2014 23:47:39 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015