∗ Insani 360 Haddiyon Ka Zikr 1400 Pahle Hadees Me …. » 1400 - TopicsExpress



          

∗ Insani 360 Haddiyon Ka Zikr 1400 Pahle Hadees Me …. » 1400 Saal Pahle Insani 360 Haddiyon Ka Zikr « ■ Hadees: Hazrat Ayesha (Radiyallaahu Anha) Se Riwayat Hai Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya: “Har Insan Ki Takhleeq Me 360 Jod (Joints of Bones) Banaye Gaye Hain, So Jis Ne Allahu Akbar Kaha, Alhamdulillah Kaha, La’ilaha Illa’llah Kaha, Subhanallah Kaha, Astagfirullah Kaha, Raaste Se Patthar Ya Kanta Ya Haddi Hatadi, Acchi Baat Ka Huqm Diya Ya Buri Baat Se Roka Toh Ye Teen So Saath (360) Jodon (Joints)Ki Ginti Ke Barabar (Shukr Ada Karne Ki Tarah) Hai Aur Goya Wo Shaksh Uss Din Apne Aap Ko Jahannam Se Aazad Karwa Kar Chal Phir Raha Hai”. -:(Sahih Muslim, Book 5, Hadith 2199) ■ Science Aproval: 1400 Years Years Pahle Na Science Thi Aur naa Hi Koi Isani Jism Ko Scan Karne Ka Koi Jarya, Rasoolallah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne (Wahi Ilahi Ke Noor Se) Insani Haddiyon Aur Jodon Ki Ta’dad Muta’yyan (Exact)Tor Par Teen So Saath (360) Bayan Farmadi, Aaj Medical Science Me Insani Haddiyon Aur Jodon Ke Liye Ek Mustaqil Shoba Anatomy Wujood Me Aa Chuka Hai Aur Iss Sho’be Ke Muhaq’qiqeen Ka Tasleem Karna Hai Ke Insani Jodon Ki Ta’dad Teen So Saath (360) Hi Hain
Posted on: Mon, 24 Jun 2013 08:52:08 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015