Jinhain Mein Dhondta Tha Asmanon Mein Zameenon Mein Woh Nikle - TopicsExpress



          

Jinhain Mein Dhondta Tha Asmanon Mein Zameenon Mein Woh Nikle Mere Zulmat Khana-e-Dil Ke Makeenon Mein The one I was searching for on the earth and in heaven Appeared residing in the recesses of my own heart Haqiqat Apni Ankhon Par Namayan Jab Huwi Apni Makan Nikla Humare Khana-e-Dil Ke Makeenon Mein When the reality of the self became evident to my eyes The house appeared among residents of my own heart Agar Kuch Ashana Hota Mazaq-e-Jaba-Sayi Se To Sang-e-Astan-e-Kaaba Ja Milta Jabeenon Mein If it were somewhat familiar with taste of rubbing foreheads The stone of Ka’ba’s threshold would have joined the foreheads Kabhi Apna Bhi Nazara Kiya Hai Tu Ne Ae Majnoon Ke Laila Ki Tarah Tu Bhi Hai Mehmil Nasheenon Mein O Majnun! Have you ever glanced at yourself That like Layla you are also sitting in the litter Mahine Wasl Ke Ghariyon Ki Soorat Urte Jate Hain Magar Ghariyan Judai Ki Guzerti Hain Mahinon Mein The months of the union continue flying like moments But the moments of separation linger for months! Mujhe Roke Ga Tu Ae Na-Khuda Kya Gharaq Hone Se Ke Jin Ko Doobna Ho, Doob Jate Hain Safeenon Mein O seaman, how will you protect me from being drowned As those destined to drowning get drowned in the boats also Chupaya Husn Ko Apne Kaleem-Ullah Se Jis Ne Wohi Naz Afreen Hai Jalwa Pera Naaz Neenon Mein The one who concealed His Beauty from Kalim Allah The same Beloved is manifest among beloveds Jala Sakti Hai Shama-e-Kushta Ko Mouj-e-Nafas In Ki Elahi! Kya Chupa Hota Hai Ahl-e-Dil Ke Seenon Mein The breath of Lovers can light up the extinguished candle O God! What is kept concealed in the breast of the Lovers? Tamanna Dard-e-Dil Ki Ho To Kar Khidmat Faqeeron Ki Nahin Milta Ye Gohar Badshahon Ke Khazeenon Mein Serve the fakirs if you have the longing for Love This pearl is not available in the treasures of kings Na Puch In Kharqa Poshon Ki, Iradat Ho To Dekh In Ko Yad-e-Baiza Liye Baithe Hain Apni Asteenon Mein Do not ask of these Devotees, if you have faith, you should look at them They have the illuminated palm up their sleeves Tarasti Hai Nigah-e-Narsa Jis Ke Nazare Ko Woh Ronaq Anjuman Ki Hai Inhi Khalwat Guzinon Mein The insightful eye for whose spectacle is tantalized That elegance of congregation is in these very recluses Kisi Aese Sharar Se Phoonk Apne Kharman-e-Dil Ko Ke Khursheed-e-Qayamat Bhi Ho Tere Khosha Cheenon Mein Burn the produce of your heart with some such spark That the Last Day’s sun may also be among your gleaners Mohabbat Ke Liye Dil Dhoond Koi Tootne Wala Ye Woh Mai Hai Jise Rakhte Hain Nazuk Abgeenon Mein For Love search for some heart which would become mortified This is the wine which is not kept in delicate wine glasses Sarapa Husn Ban Jata Hai Jis Ke Husn Ka Ashiq Bhala Ae Dil Haseen Aesa Bhi Hai Koi Haseenon Mein The Beauty itself becomes the Lover of whose Beauty O Heart! Does someone among the beautiful has that beauty? Pharak Utha Koi Teri Adaye ‘MA ARAFNA’ Par Tera Rutba Raha Barh Charh Ke Sub Naaz Afreenon Mein Someone became highly excited at your grace of Ma’arafna Your rank remained among the most elegant of all the Lovers Namayan Ho Ke Dikhla De Kabhi In Ko Jamal Apna Bohat Muddat Se Cherche Hain Tere Bareek Beenon Mein Manifest Yourself and show them Your Beauty some time Talks have continued among the sagacious since long time Khamosh Ae Dil! Bhari Mehfil Mein Chillana Nahin Acha Adab Pehla Qareena Hai Mohabbat Ke Qareenon Mein Silent, O Heart! Crying in the full assembly is not good Decorum is the most important etiquette among the ways of Love Bura Samajhun Inhain, Mujh Se To Aesa Ho Nahin Sakta Ke Main Khud Bhi To Hun Iqbal Apne Nukta Cheenon Mein It is not possible for me to deem my critics bad Because Iqbal, I am myself among my critics
Posted on: Sat, 01 Feb 2014 05:23:40 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015