Jumma Ke Din Jab Imaam Khutba De Raha Ho ….. . » Khutba-e-Jumma - TopicsExpress



          

Jumma Ke Din Jab Imaam Khutba De Raha Ho ….. . » Khutba-e-Jumma Ka Adab « Maaz Bin Anas (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Se Rivayat Hai Ke, Rasool’Allah (Sallallahu Ta’ala Alaihi WaSallam) Ne Fermaya: “JummaKe Din Jab Imaam Khutba De Raha Ho Toh, Ghutno Ko Pet Ke Saath MilaKer Baithne Se Manaa Fermaya”. . -:(Abu Dawood, Kitabul Salaat, H #1110/ Termizi, Kitabul Salaat, H # 514) . Jisne Jumma Ke Din Gusal Kiya Aur … Hazrath Salman Farsi (Radiallahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki, Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ke, “Jisne Jumma Ke Din Gusal Kiya Aur Khub Paaki Hasil Ki Aur Tel (Oil) Ya Khushbu Istemal Ki Phir Jumma Ke Liye Chala Aur Do Aadmiyon Ke Beech Me Na Ghusa Aur Jitni Uski Kismat Me Thi Namaz Parhi Phir Jab Imaam Bahar Aaya Aur Khutba Shuru Kiya Toh Khamosh Ho Gaya, Uske Is Jumma Se Guzre (Past) Jumma Tak Ke Tamam Gunaah Baksh Diye Jayenge “. -:(Sahih Bukhari, Vol 2, 910 ) . Jumma Ki Namaaz Ke Waqt Khareed-O-Farok ht Chorh Do ….. . Al-Quran Aye Imaan Walo! Jab Jumma Ke Din Ki Namaz Ke Liye Pukara Jaye Toh Allah Ki Yaad Ki Taraf Chal Paro Aur Khareed-O-Farok ht Chorh Do, Ye Tumhare Liye Behtar Hai Agar Tum Jano. Phir Jab Namaz Puri Ho Jaye Toh Zameen Me Fail Jao Aur Allah Ka Fazal(Rozi) Talash Karo, Aur Allah Ko Kasrat Se Yaad Karo, Taaki Tum Kamyabi Pao. . -:(Surah Al Jumu’ah, Aayat: 9-10)
Posted on: Fri, 28 Jun 2013 06:49:06 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015