Jutt League, Butt League, Sindhi League aur Pathan - TopicsExpress



          

Jutt League, Butt League, Sindhi League aur Pathan League. Pakistan k rehnay waalay State k prospect say 100% Pakistani citizens hain aur Religion k prospect say 97% Pakistani Muslman hain laykun State aur Religion k prospect k elaawa Nations aur Communities k prospect say Pakistan aik heterogeneous nations state hy. Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch, Pakistan ki nations hain, jin ki apni apni land hy, language hy, culture hy, traditions hain. Pakistan ki Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch nations, her nations ki tarha communities par moshtamal hain jinhain kahein Qabail aur kahein Baraadri kaha jaata hy. Punjabi nation ki bohat saari communities mein say 4 bari communities Arain, Rajpoot, Jutt, Butt (Kashmiri) hain. Politics mein economic, developmental, administrative programs aur policies k sath sath, social contacts aur representation ki bhe boht importance hooti hy. Khass tour par Pakistan jaisay moulk mein, jahaan political parties, political manifesto k bajaay personality oriented Private Limited Companies hain, jin ki policy-making aur decision-taking Private Limited Company k board of directors ki tarha political party k head k Rishtaydaar aur Doost Yaar kartay hain, jis ki wajaah say Pakistan ki politics mein, practically PPP Sindhi League, PMLN Butt League, PMLQ Jutt League aur PTI Pathan League bunni hoe hain. Military Dictator Musharraf ki dictatorship k daur mein PMLN say political activists ko alug kar k PMLQ k naam say aik political party bunnaee gaee. Go k PMLQ ka President aik Arain Mian Azhar ko bunnaya gayaa laykun Arain political players k PMLN k elaawa PPP mein bhe respectable position par rehnay ki wajaah say Arain es qadar PMLQ ki taraf attract nahi hoay jitnay Jatt political players hoay. Jatt na sirf PMLN ko chor kar PMLQ mein shamal ho ga,ay balkay PPP say bhe bari tadaad mein Jatt political players PMLQ mein aa ga,ay, jis ki wajaah say PMLQ ka President Arain Mian Azhar k bajaay Jatt Chaudhary Shujaat ko bunna diya gayaa, jis say PMLQ ammli tour par Jatt League bun gaee jub k PMLN mein say Jatt political players ki bari moqdaar mein nikaal jaanay aur Arains k pehlay he PMLN k elaawa PPP mein bhe honay aur kuch moqdaar k PMLN say nikal kar PMLQ mein shamal ho jaanay ki wajaah say PMLN mein majority Butts (Kashmiri) political players ki reh gaee aur ya phir Rajpoot political players ki. PMLQ mein Jatt aur PPP mein Arain political players ki majority ya domination ki wajah say ya Jatts aur Arains k sath social differences aur disputes ki wajaah say, Rajpoot political players nay political strategy k tour par PMLQ aur PPP k bajaay PMLN ko he priority di. PMLQ k Jutt League aur PMLN k Butt League bun jaanay, jub k PPP k Sind ki party bun jaanay ki wajaah say aur PPP k Punjab mein Arain political players k bajaay South Punjab k Arabic Background Peeron aur Baloch Background Jageerdaron ko priority daynay ki wajaah say Arain political players, PMLQ k Jutt League, PMLN k Butt League aur PPP k Peeron aur Jageerdaron ki political parties bun jaanay ki wajaah say Siyaasi tour par muntashar ho gaay laykun PTI ki reorganization k waqt Lahore mein jalsa kartay waqt PTI ko Butts k PMLN aur Jatts k PMLQ mein hoonay ki wajaah say Arains ki zaroorat mehsoos hoee jub k Arain political players ko bhe PMLN k Butt League, PMLQ k Jutt League aur PPP k Peeron aur Jageerdaron ki parties bun jaanay ki wajaah say political platform ki zarorat thi es liay Lahore k Arain political players nay PTI k platform par jumma hoona shoro kar diya jis say Lahore ki hud tak PTI Arain League bun gaee laykun Lahore say bahir k local level ki politics karnay waalay Arain political players, PTI k sath sath PMLN aur PPP mein bhe hoonay ki wajaah say Punjab ki sitaah par Arain political players mazeed muntashir ho gayaa. Jaysa k Punjab mein es waqt, PMLN assal mein Butt League bunnee hoee hy. PMLQ assal mein Jutt League bunnee hoee hy. PPP assal mein Arabic aur Baloch League bunnee hoee hy. Rajpoot political players, Jutt League aur Arabic, Baloch League say ziyaada Butt League mein hain laykun Arain political players es waqt Jutt League mein tu hain nahi, Butt league mein hain tu sahi laykun Butt aur Rajpoot k baad third position par hain, PPP mein bhe position k lihaaz say Arabic aur Baloch political players k baad ki position par hain. Punjab mein PMLN, PMLQ, PTI k baad ab PPP nay aik baar phir say reorganization karni hy. Butts aur Rajpoots ki Majority chon k PMLN mein hy es liay future mein bhe Butt aur Rajpoot political players ki Majority nay PMLN mein he rehna hy. Jutt political players ki Majority chon k PMLQ mein hy es liay future mein bhe Jutt political players ki Majority nay PMLQ mein he rehna hy, laykun her constituency mein Jutts ko chon k Butts aur Rajpoots k sath sath Arains say bhe confront karna parta hy, es liay PMLQ k platform say kisi Jutt political player k elect hoonay k imkaanat kum he rehnay hain. Arabic aur Baloch political players ki Majority chon k PPP mein hy, es liay, future mein bhe Arabic aur Baloch political players ki Majority nay PPP mein he rehna hy laykun her constituency mein Arabic aur Baloch ki party ko chon k Butts aur Rajpoots k sath sath Arains say bhe confront karna parta hy es liay PPP k platform say Arabic aur Baloch candidate k elect hoonay k imkaanat kum he rehnay hain. Jutt League yaani PMLQ aur Arabic, Baloch League yaani PPP albata aapas mein alliance kar k Arabic, Baloch political players aur Jatt political players ko, Butt League yaani PMLN k moqaablay mein laa saktay hain laykun es soorat mein bhe faislakun kirdaar Arains ka hoona hy, jo Jutt League yaani PMLQ ko tu support nahi karain gay laykun Arabic, Baloch League ko kar saktay hain aur wo bhe ous soorat mein k Z.A Bhutto aur Benazir Bhutto k daur ki tarha Araian political players ko PPP mein position di jaay, na k Arabic, Baloch k baad ki position par rakha jaay, ya PMLQ k zawaal ki wajaah say PMLQ chor kar PPP mein aanay waalay jatts ki wajaah say Arain political players ko Jatt political players k baad ki position par rakha jaay. PMLN nay jo k filwaqt Butt aur Rajpoot league bun chuki hy. Jatt political players k PMLN say ghadaari kar k PMLQ bunna kar PMLN k sath mahaaz araaee kartay rehnay ki wajaah say, Jatt political players ka PMLN mein koe future nahi hy. Arabic, Baloch political players ko PMLN nay Butt aur Rajpoot k baad ki position par he rakhna hy laykun PMLN nay aggar PMLN k Butt League hoonay k label ko change kar k, Butt, Rajpoot aur Arain,political players ko equal status par rakhana shoro kar diya tu PMLQ aur PPP k alliance ki soorat aur PTI k es alliance mein shamal hoonay k bawajood bhe yeh alliance, Arabic, Baloch aur Jatt alliance he rehna hy, jo Punjab ki 4 baari communities Arain, Rajpoot, Butt aur Jutt mein say 3 bari communities Arain, Rajpoot, Butt k sath compete nahi kar sakay ga. Laykun, PMLN nay aggar PMLN k Butt League hoonay k label ko change na kiya aur PMLN Butt aur Rajpoot political players ki he majority party rahi, jub k Arain political players ki majority PPP mein chali gaee aur PPP ka PMLQ aur PTI k sath alliance ho gayaa ya Jatt political players bhe PPP mein shamal ho gaay tu Punjab ki 2 sub say bari communities, Arain aur Jatt k Butt aur Rajpoot communities k sath, moqaablay ki soorat mein PPP nay dominating position par aa jaana hy. Filwaqt Punjab mein Arain aur Jatt political players ka aik siyaasi ghaat par ookathay hoona mushkal nazar aata hy laykun PMLN k Butt League bun jaanay, Jatt political players k sath conflict honay laykun Butts k elaawa sirf Rajpoot political players ko he front benches daynay aur Arain political players ko back benchers rakhnay ki PMLN ki policy change na hoe tu, Arain, Jutt political conflict, political cooperation aur Arain, Butt political cooperation, political confrontation mein convert ho sakta hy, aggar PPP nay Arain political players aur Jatt political players ko PPP k platform par waisay he unite kar diya jaisay Butt political players aur Rajpoot political players ko PMLN nay unite kiya howa hy. Laykun PPP nay aggar Punjab mein PPP ko Arabic, Baloch League he rakh, Punjab k Arabic, Baloch background Punjabiyon ko Saraiki qaraar daynay, Punjab ko Regions mein aur Punjabi Qoom ko dialects mein divide karnay ki strategy barqraar rakhi tu, PPP ko na tu Punjab say Arain nay support karna hy aur na Jatt nay. PMLN k Butts aur Rajpoots ki dominating political party honay k bawajood PMLN nay he Punjab ki dominating political party rehna hy. Laykun, aggar PPP ki Arabic aur Baloch background Punjabiyon ko Saraiki qaraar daynay, Punjab ko Regions mein aur Punjabi Qoom ko dialects mein divide karnay ki strategy ko counter karnay k liay PMLN nay Butt aur Rajpoot political players k sath sath Arain aur Jatt political players ko bhe PMLN k platform par collect kar k, PMLN mein Punjab ki 4 sub say bari communities, Arain, Jutt, Butt, Rajpoot k political players ko accumulate, adjust aur unite kar liya tu na sirf PMLN k Butt League hoonay ka taasar khatam ho jaana hy, balkay, PMLN nay Punjab ki dominating political party hoonay k sath sath, Punjabi Qoom ki sub say mazboot political power bun jaana hy, jis ka PMLQ aur PTI jaisi Punjab ki political parties nay tu moqaabla kar he nahi paana. Jub k, Punjab say bahir ki PPP jaisi political party nay bhe, na sirf individual capacity mein, balkay Punjab aur Punjab say bahir ki doosri political parties k sath alliance bunna kar bhe PMLN ka moqaabla nahi kar paana.
Posted on: Wed, 10 Sep 2014 10:44:39 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015