Kabhi aah lab pe machal gai kabhi ashk aankh se dhal gaye wo - TopicsExpress



          

Kabhi aah lab pe machal gai kabhi ashk aankh se dhal gaye wo tumhare gham ke chirag hain kabhi bujh gaye kabhi jal gaye main khayal-o-khvab ke mahafilen na baqadr-e-shauq saja saka tumhari ik nazar ke sath hi mere sab irade badal gaye kabhi rang mein kabhi rup mein kabhi chanv mein kabhi dhup mein kaheen aafatab-e-nazar hain wo kaheen mahatab mein dhal gaye jo fana huye gam-e-ishq mein unhen zindagi ka na gham hua jo na apni aag mein jal sake wo parai aag mein jal gaye ya unhen bhi meri tarah junun to phir un mein mujh mein ye farq kya main giraft-e-gam se na bach saka wo hudud-e-gam se nikal gaye...
Posted on: Fri, 02 Aug 2013 18:48:38 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015