Khoobsoorat aur haseen baal her aik ho achay lagtay hain. Lambay - TopicsExpress



          

Khoobsoorat aur haseen baal her aik ho achay lagtay hain. Lambay baal aurtoon kay liye khobsoorti ki alamat samjhay jatay hain. Mager jub kisi bemaari ki wajha say ya baaloon ki daikh bhaal na kernay ki wajha say aap kay baal girna shuru ho jain tou yaqeenan yeh aik tashweesh naak baat hai. Apko foran iska hal talash kerna chahiye. Qadeem zamanay say hee khawateen baaloon ko haseen aur ghanay bnanay kay liye mukhtalif totkay aur beauty tips ka istemaal kerti aa rahi hain. Aaj kay jadeed daur mein chahay kitnay hee shampoo. Lotions, conditioners aur doosri masnooaat dastyaab honay kay bawajood bohut si khawateen aaj bhi qudrati ajza kay istemaal ko behtareen hal(solution) samajhti hain. Iss chotay say article ka maqsad bhi yehi hai k aapkay sath aisay totaky aur tips share ki jaain jin ko isstemaal ker kay aap baaloon ko girnay say rok sakti hain aur inko haseen aur ghana bna sakti hain. Zail mein kuch hair fall totay aur tips darj kiye ja rahay hain umeed hai apko na sirf pasand ain gay balkay ap in ka istemaal ker kay faida bhi uthaain gi. Hair Fall Tips: Sabat dhaniya, meethi kay beej, soonf aur khopra munasib miqdar main lay kar pees lain. Phir isay sarson kay tail main mila kar halki anch par pakain. Phir thanda kar kay chaan lain. Iss say sir ka massage krain. Musalsal istemaal say baal girna kum ho jain gay. Khurdray aur bay roonak baal bhi hussn main kami ka bais bantay hain. Es liay baaloon ki chamak aur mazbooti kay liay meethi kay patay, dahi aur anday ka amazay bohat mufeed hai. Yeh baal girna kum kernay mein madad gaar sabit hota hai. Sir per achi terha leemoon lagain aur 15 minute k baad sabon ya shampoo say dho lain. Achi terha khushk honay per kalonji ka tail bhi lagain. Kuch arsay mein baal girna bund ho jain gay. Iss kay ilawa zaitoon ka tail bhi faida mund hai. Narial ya sarsoon kay tail mein leemoon mila ker raat ko laga ker so jain aur subah uth ker dho lain. Baal girna bund ho jain gay. Jin logoon kay baal ziada girtay hoon unko chahiye kay woh aik chamach zaitoon ka tail, aik chamach shehed, aik chaye kay chamach pisi hoi daar cheeni ko mix ker kay baaloon mein lagain. Baal girna bund ho jain gay. Kuch he arsay mein wazay ferq mehsoos ho ga aur baal ghanay aur chamak daar bhi ho jain gay. Bimari, kamzori, zahni dabaao aur parayshani aurtoon aur mardoon main yaqsan taur per ganjay pan ka bais bantay hain. Sardion main baal girnay ka amal teezi say barh jata hai. Iss liay sardiyon mein baalloon ko intehai nighadasht ki zaroorat hoti hai. Baaloon main kangha karty huay zara narmi say kam lain. Kisi bhi mausam mein khwaah woh sardi ho ya garmi baalloon ko ziada garam pani say dhoonay say parheez karain. Geelay baalooon mein kangha matt karain. Baalooon ki afzaish kay liay zarori hay keh munasib ghizai ajza ka istemal kia jaye. Munasib khorak baaloon ko mukhtalif masail khaas taur per baal girnay say bachati hay. Baisan aur leemoon kay russ ko mila ker laganay say bhi baal jherna bund ho jatay hain. Qudrati ajza ager sahi miqdaar mein istemaal kiye jain tou faida mund sabit hotay hain. Baalooon ka girna yani hair fall apki shakhsiyat per aser andaaz hota hai aur pareshaani ka bais bunta hai. In tips aur totkoon per amal ker kay aap behter nataaij hasil ker saktay hain. Related posts: 1. Skin Care Tips f
Posted on: Tue, 01 Oct 2013 08:27:20 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015