Kis Jagah Jhoot Bola Ja Sakta Hai =============== ========= Hazrat - TopicsExpress



          

Kis Jagah Jhoot Bola Ja Sakta Hai =============== ========= Hazrat Muhammad (sallalhau alyhiwasallam) ne farmay ke - “Wo Shakhs Jhoota Nahi, Jo Logo Ke Darmiyaan Sulaah (burai ko door) Karwaane Ke Liye Jhoot Bole” (Masnad-e-Ahmad , Hadees 27818) friends, agar 2 log pahle kabhi dost ya rishtedaar hua karte the lekin baad mein kisi baat par unme jhagda ho gaya ya unke dilo mein ek dusre ke liyenafrat paida ho gai aur unhone ek dusre se milna, baat karna band kar diya to aese haalat mein dono ko wapas milwaane ke liye thoda jhoot bol sakte hain, lekin ye jhoot dono ka bhala karne aur aapas mein wapas dosti karwane ke liye hona chahiye, isme hamara koi duniyawi faida nachhupa ho. Ek hadees ka mafhum hai ki agar 2 momin bhai 3 din se zyada aapas mein baat band rakhte hain tounki nekiya unke sar ke upar nahi uthti (yaani Allah ke yaha kubul nahi hoti) aur Allah har hafte har insan ke acche/bure kaam par nazar daalta hai aur jisko chahta hai usko maaf kar deta hai, lekin jab do jhagda kare ya baat band kiye hue logo ki file jaati hai to Allah farmata hai ki inki file side mein rakh do. mein isko tab tak na dekhuga jab tak ye aapas mein sulaah/dosti na kar len
Posted on: Sun, 23 Jun 2013 01:35:46 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015