Koi zabt de na jalal de, Mujhe sirf itna kamal de, Mai har ek - TopicsExpress



          

Koi zabt de na jalal de, Mujhe sirf itna kamal de, Mai har ek ki sada banun, K zamana meri misaal de, Teri rehmaton ka nuzool ho, Meri mehnaton ka sila milay, Mujhe maal o zar ki hawas na ho, Mujhe bas tu rizq e halal de, Mere zehen mai Teri fikr ho, Meri saans mai Tera zikr ho, Tera khauf meri nijaat ho, Sabhi khauf dilse nikal de, Teri bargaah mai Aay Khuda meri roz o shab hai yahi Dua, Tu Raheem hai Tu Kareem hai, Tu sabhi balaaon ko taal de. (AAMEEN) Jo musibat apko Allah ki taraf mutawajja kar de,wo musibat nahin rehmat he, Aor Jo neymat apko Allah se ghafil kardey woh neymat nahin, musibat hay. Hazrat ALI (R.A) said: Agar Kisi Ko Yeh Ghuroor Ho K Wo Tum Se Jitni Martaba Naraz Ho To Tum Usay Mana Lo Ge To Behtar Hai Tum Uska Yeh Gharoor Tootnay Na Do
Posted on: Mon, 25 Nov 2013 17:03:05 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015