Kya ye kam hai k hamare PM aaj bole... Bhale hi wo chabi wale - TopicsExpress



          

Kya ye kam hai k hamare PM aaj bole... Bhale hi wo chabi wale khilone ki tarah bol rhe the... Bhale hi wo sirf Gandi Nehru pariwar ki gungan kar rhe the... Bhale hi unhone Pakistaan ko dhamkaya nahi... Bhale hi unhone China ko hudkaya nahi... Bhale hi Sena ka utsah vardhan nahi kiya... Bhale hi samasyao se nipatne ka marg nahi dikaya... Bhale hi unhone wo kuch nahi bola jis se yr ahsas ho k hum Azad hai... Bhale hi aisa kuch nahi bola jo hame hamari disha batata... Per..... Ye kya kam hai k wo bole... Bhale hi hum aaj apni azadi ka dambh na bhar sake... Per... Unka gambhir tone hame hasa to raha tha... Kya ye kam hai k hamare PM bolte bhi hai... Mujhe yakin hai k unka bhashn aaj bhale hi kisi PM ka bashan na laga ho... Per.... Kya ye kam hai k hamare PM gunge nahi hai... Dukhi mat ho dosto... Tikk Tikk Tikk kar k hi sahi... Hamara PM bolta to hai...
Posted on: Thu, 15 Aug 2013 04:54:07 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015