» Ladki Ki Nikaah Ke Liye Razamandi Zaroori Hai « » Hadees: - TopicsExpress



          

» Ladki Ki Nikaah Ke Liye Razamandi Zaroori Hai « » Hadees: Hazrat Abu HurairaWa Hazrat Abdullah Bin Abbas (Radiallahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke Huzoor (Sallalaho Alayhi Wasallam) Ne Irshad Farmaya: “Kuwaari Ladki Ka Nikah Na Kiya Jaye Jab Tak Uski RazamandiNa Hasil Karli Jaye Aur Uska Chup Rehna Uski Razamandi Hai, Aur Na Nikah Kara Jaye Bewah (Widow) Ka Jab Tak Usse Ijazat Na Li Jaye.” (Tirmizi Sharif Jild 1, Safa 566) » Hadees: Imaam Bukhari (Radiallahu Anhu) Nakal Farmate Hai, Hazrat Aayesha (Radiallaho Anha) Ne Arz Kiya: “Ya Rasoolallah! Kuwari Ladki Toh Nikaah Ki Ijazat Dene Me Sharmati Hai.” Aap (Sallalaho Alayhi Wasallam) Ne Farmaya ” Uska Khamosh Ho Jana Ijazat Hai.” (Bukhari Sharif, Jild 3,safa 76, Hadees No 124, Bab No 71) » Hadees: Hazrat Abuhuraira (Radiallahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasoole Akram (Sallalaho Alayhi Wasallam) Ne Irshad Farmaya: “Baligh Kuwari Ladki Se Uske Nikah Ki Ijazat Li Jaye Agar Khamosh Ho Jaye To Ye Uski Taraf se Ijazat Hai. Agar Inkar KareToh Us par Koi Jabardasti Nahi.” (Tirmizi Sharif, Hadees No 1101, Jild 1,safa 567 *insha*
Posted on: Thu, 29 Aug 2013 14:36:00 +0000

Trending Topics



yle="min-height:30px;">
Every generation or so, a major secular shift takes place that
West Plains resident Janet Crow, one of the events organizers,
Ç’u duket juve për Krishtin? Me këto fjalë Jezusi hutoi
14 reasons why Jonathan must go now, by senators Posted by: Yusuf

Recently Viewed Topics




© 2015