Local Bodies System Azad Kashmir mein siasi nizam ko parwan - TopicsExpress



          

Local Bodies System Azad Kashmir mein siasi nizam ko parwan charhanay k liyay Baldiyati elections buhat zaruri hain. Baldiyati elections k na honay ki buhat zimmadari Muslim Conference per hi ayed hoti hai lekin haqiqat ye hai k koi bhi muntakhib member assembly nahin chahta k aisa ho jaye aur taeaqqiyati kaam baldiyati idaron ko muntaqil ho jayen. Aur tamam MLAs AD Local Government k zariyay apnay pasand k logon ko nawaztain rahain. Is mein sb log taqreeban aik hi jaisi raey rakhtay hain. 1992 k mutabiq Azad Kashmir mein 4200 baldiyati seats hain. Jo naey wards aur Union Councils k qayam k baad taqreeban 5000-5500 tak bun jayen gi. Baldiyati elections k na honay k sub se bara nuqsan ye hai k haqiqi leadership ka grass root level se oper ana khatam ho gaya. Iss se har admi apnay tor pe siasi numberdar bun gaya hai aur sara siasi nizam blackmailing aur Khushamad ka muhtaaj ho gaya hai. Dusri baat jo nihayat eham hai k youth ki ya siasi karkunon ki koi adjustment ki haga hi nahin hai. Aik larka youth ya student politics se oper aana chahey tou uss k liyay koi raasta nahin hai. Wo sirf apnay MLA ku chaplosi karay aur jub hakumat aa jaey tou ya uska PS lug jaye, coordinator ya phir baldiyati idaron mein taeenat ho jayen. Yaqeenan ye tareekh batati hai k aksar afraad iss baat k ahal hi nahin thay. Ye buhat bari na-insafi hai siasi nizam mein. Parhay likhay ya soch samajh walay nojawanon k liyay koi raasta hi nahin hai. Aur wo saray siasi nizam se mayoos ho chukay hain aur ye saray nizam ki buhat bari nakami hai. Zara sochain k har 5 saal baad 5000 siasi karkun tayyar hon gain aur muqabla taqreeban 20,000 se zayed logon k darmiyan ho ga. Ye kitni bari siasi khaip hai jis ki tayyari ka nizam hi khatam ho gaya hai. Aur 5000 muntakhib numaindon ki jaga 10 AD Local Government ne le li hai. Afsoos sud afsoos. Phir iss nizam ka bara faida ye hai k MLAs k election mein log taraqiyati schemes ki bunyad pe vote nahin dain gain aur elected MLAs ko bhi Qanoon sazi aur Riasti umoor pe tawajo dain gain. Siasi parties bhi apnay manshoor aur dastur ko behtar bana sakain gain. Badkismati se mojoda parlimani nizam mein pata nahin ye kub mumkin ho ga. Lekin mujhay iss k ilawa koi surat nazar nahin aati agay barhnay ki. Ye hona hai behtar ye hai k sub siasi jamaaten iss pe ittefaq kar lain iss pehle k buhat dair ho jaye. 29 MLAs aur 10 AD iss local bodies system ka kabhi mutabadil nahin ho saktay.
Posted on: Sat, 02 Aug 2014 16:40:43 +0000

Trending Topics



ash 2.0? Chris has been helping
Bread and Roses 1912-2012 US Congress is on recess for the month
When the turbulence is great, when your troubles seem so heavy,
Holaaa dancers.... Rampage Club mengadakan event nih Hari Sabtu
Let miracles become your reality for 2015. I did in 2013 and 2014
Internationalisation and the Student Voice: Higher Education
KEEP IN TOUCH depends where you from >>> Décalages Horaires -

Recently Viewed Topics




© 2015