∗ Maa-Baap Ki Khidmat ….. Hazrat Abdullah Bin Amr (Raziallahu - TopicsExpress



          

∗ Maa-Baap Ki Khidmat ….. Hazrat Abdullah Bin Amr (Raziallahu Anha) Se Riwayat Hai Ki, Ek Aadmi Ne Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Khidmat Me Haazir Hokar Arz Kiya, “Mai Hijrat Ki Baith Karne Ke Liye Aapki Khidmat Me Haazir Hun, Aur Apne Maa-Baap Ko Rote Hue Chhod Kar Aa Gaya Hun” Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Waapas Jaao, Aur Jis Tarah Unhe Rulaaya Hai, Usi Tarah Unhe Hasaao”. -:(Sunan Nisai, Kitabul Bait, Baab Bait Al Hijra, H 4174) ♥ Al-Quran : Aur Jhuke Rakhna Unn Dono (Ma-Baap) Ke liye Apne Kandhe Rahem Ke Sath, Aur Dua Karte Rehna. -:(Sureh-Isra , Aayat-24) Nasihat: Beshaq Maa-Baap Ki Khidmat Dono Jahan Me Azmat Hai ..
Posted on: Sun, 28 Jul 2013 16:01:18 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015