Main Musalman tha, Mujhay Hindu say Darr tha. Ab main Azaad hun. - TopicsExpress



          

Main Musalman tha, Mujhay Hindu say Darr tha. Ab main Azaad hun. Ab main agar Shia hun to Sunni say aur Sunni hun to Shia say darr hai. Agar Pathan hun to Muhajir say darr hai. Police ka Jawaan hun to Taliban say darr hai. Baloch hun to Pak Fauj say darr hai. Siyasatdaan hun to Army Chief say darr hai. Dukandaar hun to Bhatta-khor say darr hai. Nimazi hun to khud-kush bambaar say darr hai. Jeans pehanta hun to Moulvi say darr hai. Pehlay, Main Musalman tha, Mujhay Hindu say darr tha. Ab Main Azaad hun, mujhay Musalman say darr hai. Azaad hun bhi ya nahin? Sab say bara to yehi darr hai.
Posted on: Thu, 15 Aug 2013 06:14:19 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015