My autobiography! Jo log muje bol rahe hai do din me studio me - TopicsExpress



          

My autobiography! Jo log muje bol rahe hai do din me studio me jakar heero ban gaya to ab jawab dena padega bhaio aisa katai nai hai meri seva 1999 me 7th class se chal rahi.jab me hostel me tha waha hamara har week bhagwannaam kirtan hota tha,mene dozeno teachers sahit apni sath padne wale vidhyarthio ke matapita ko risi prasad ka member bana diya tha..bad me apne hostel se 5km duri par 2005 26 jan. Ko harinam kirtan weekly start karaya tha,jo aaj tak chal raha hai.aise karib 7 jagah mene alag alag area me weekly bhajan prog. Start karaye, bad me humne gaon gaon jakar rishi prasad ki seva shuru ki jab yuva seva sang ka naam bi nahi tha..mene ek din me 50 se bi adhik member banaye hai risi prasad ke, muje uske liye bapuj dwara 2 silver medal bi mile, fir ek bar adhyamtaki gyan pratiyogita hui mene apne school me padne wale vidyarthio na sirf prerit kiya.balki ek class me pure 30 vidyarthio ka regi. Karaya...bad me ye pratiyoghta dpp ke naam se jani gayi. 2011 me humne apne delhi ke 50 schoolo ke 50,000 students ko bhartiya gyan pahuchayajisme karib 5000 vidyarthiyo ne exam bi diya..aas pas ka aisa koi school naha jaha ka principal muje janta na ho,muje is bawat bal sanskar dwara silver medal bi mila..ab meri seva ki adhikta ke karan mera health bigda ji ha meri lower back me pain shuru ho gaya,jo ab tak hai..parantu apne are ke 10 km tak aisi kon si gali hogi jaha humne kirtan yatra na nikali ho?me akela hi 22 varsh ki age me sabko collect kar prabhat feri nikalwata tha..1jan aur janmastmi to humara pakka tha..bad me muje 3 sal tak ashram dwara tihar jail me bi jane ka mauka mila...me kai bar to akela hi waha jakar unhe apne guruji ka gyan pahuchane jata...bad me muje 2012 me pujya saij ka sanidhya mila,saiji ne aab dekha na taab muje apne pas hi bula liya.me raha bi. Kai bar saij ke puruv bhajan path sankirtan satsang karne ki seva,media management ki bi mili..par mere health ke wajah se unohne muje bed rest par rakha hua hai.last year avtaran diwas par me rama bhai ke sath delhi,rewari alwar,rohtak,faridabad jaise sahro me kirtan yatra me bhag liya... Aur garmiyo ki holidays me hone wale camps me bi muje vaktavya dene ki seva 8 sal tak karne ka mauka mila..agar aligarh, jaipur sahit 3 gurukulo me muje waha ke balko ko seva dene ka mauka bi is sal mila...uske bad jab bapuji par itna atyachar ho raha to muje media walo aur desh ke gumrah ho rahe logo ko bhakto ki bat rakhne ka time mila to meaaj tak aur indiatv( 3 show) par gaya..to mene ye seva kardi tu kuch log jalne lage,,aur mere bare me kuch ka kuch bola..me hawa me udkar waha show me nai pahucha, hajaro log bachpan se muje jante hai mere ghar ashram ki har ek book aur purani se purani ek ek risiprasad,mene bapu ko jiya hai.reasearch ki hai...are yogyata kisi vyaki paristhiti ka mohtaaj nai hoti..wo apni manjil khud chunte hai...
Posted on: Mon, 04 Nov 2013 18:40:09 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015