Na to aah ki na to chup rahe, na ye ho saka na wo ho saka, Na to jee sake na to mar sake, na ye ho saka na wo ho saka; Meri zindagi ka maamla na bigad saka na sanwar saka, Na to aaye wo a bulaa sake, na ye ho saka na wo ho saka; Rahi ek rang mein zindagi, na to gham mila na mili kushi, Na to hum bane, na to hum mite, na ye ho saka na wo ho saka; Badi thi ummeed wo aayenge, lagi mere dil ki bhujaayenge, Na to kuchh kaha, na gale mile, na ye ho saka na wo ho saka; Suni ek baat na ‘Raaz’ ki, ye hai shaan bandanawaaz ki, Na chhup rahe na ayaan huye, na ye ho saka na wo ho saka; ~ Imam-us-Salekeen Hazrat Shah Mohammed Taqi Urf Aziz miyan Al-Mutakhallis ‘Raaz’ Niyazi R.A
Posted on: Thu, 03 Oct 2013 07:39:29 +0000
Trending Topics
Recently Viewed Topics
© 2015