Neta aur abhineta yeh do naam hum logo ke liye - TopicsExpress



          

Neta aur abhineta yeh do naam hum logo ke liye naye nai hai hum sab ise jante hai mager kya aap jante hai bhale hi yeh do alag alag naam hai pehchan hai mager inmme kuch baate common hai jaise ki yeh do no samaj me ek kirdar nibhate hai ek neta ka aur ek abhineta ka aur khaas baat yeh hai ki inko pasand karna ya napasand karna dono baate hum yane janta janardan ke haath me hai kisko paas karna kisko fail karna yeh janta tei karti hai aur sab tei hota hai performance par kisne accha kaam kiya hai yeh janta tei karti hai abhineta ke kai role hai hero ke villan ke abhineta apni achi acting se ek naya itihaas bana sakta hai woh superstar ban sakta hai woh bada villan bansakta hai bada naam kama sakta hai woh samaj me apni acting ke jariye ek accha sandesh aur bura sandesh dono de sakta hai hame yane janta ko tei karna hai usko kya pasand hai mager abhineta desh ko nai badal sakta woh desh ko nai chala sakta woh desh ko aage badhane me madat nai kar sakta hai kyu ki woh ek kalakar hai uska kaam hai apni kalaka pradashan karna desh chalta hai hum logose yane janta janardan se hum apne kimti vote ka upyog karke samaj me se apna ek lok pratinidhi chunte hai aur apna aur hamare desh ka bhavisya uske haath me soap dete hai aur yeh ummid karte hai ki woh hamari takliif hamara dard samjhe hamari mool bhoot suvidha hame dene ki koshish kare mager yeh sab tab mumkin hai jab hamara neta acche character ka ho daagi chavi ka nai jitna hum uspe vishwas karke election me chunnke dete hai utne hi vishwas se hamare neta logo ne imandari se kaam karna chaiye ager aisa hua to hum apne aap ko super power karsakte hai aur jo aisa nai hua to hamare desh ka nuksan hoga hamari pragati desh ki pragati desh ki pragati tab hogi jab koi accha neta imandar neta hamare desh ka netrutva karega jahan sabhi dharm ke log aapas me mil jul kar rahenge aur pyar se rahenge bagair kisi bhed bhav ke yeh sab tab mumkin jab janta janardan apna kimti vote ka sahi estemal karega vote to right n honest person n save our nation jai hind bharat mata ki jai
Posted on: Sat, 13 Jul 2013 11:11:16 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015