PARMESHWAR KA VACHAN “Patras ye baaten kah hi raha tha,ke - TopicsExpress



          

PARMESHWAR KA VACHAN “Patras ye baaten kah hi raha tha,ke Pavitar Aatma Vachan ke sunne walo par utar aaya. Aur jitne khatna kiye hue vishvasi Patras ke sath aaye the,vey sab hairan hue ke anya jatiyon par bhi Pavitar aatma ka daan undela gya hai.Kyunki unhone unhe bhanti bhanti ki bhasha bolte aur Parmeshwar ki badhai karte suna." Acts 10:44-46 Jai Masih ki sabko Brothers n sisters aaj ka vachan Preriton ke kam nam ki pustak me se liya hai .Jesus ke jane ke bad chelon ne Jesus ka susamachar sab jagah batana shuru kiya...lekin wo anya jati logo ko vachan nahi sunate the keval Yahudi ya Israeli logo ke paas hi Prabhu Yeshu ka susamachar sunate the. Brothers n sisters jaise Prabhu Yeshu Masih Yahudi kom me se the usi tarah sare chele bhi. Us samay Isarel me Rome ke raja ki hukumat thi. Cornelius nam ka ek manushya tha jo italvi sena ka subedar tha lekin wo dharam karam karta tha daan bhi deta tha. Dusri dharamo ke logo me se bhi jo log sachai se Parmeshwar ko dhundte hain Parmeshwar un par apne aap ko jahir karta hai aisi bahut sari gawahiyan hain. Cornelius ne dream me dekha Patras ke bare me Farishte ne usse kaha Patras ko bulwa bhej n usse vachan sune. Udhar chelo ke mann me ye the ke Jesus keval apni Kom Israeliyo ke liye iss dunia me aaya tha. Kya aap jante ho aaj bhi aise Christians log hain jo dusre dharmo se Masih me aaye logo ko dekh kar jayda khush nahi hote kyunkie aise log dharam ka palan hi karte hain Yeshu Masih ke sath unka viyaktigat rishta nahi hota...keval wahi khush hote hain jo Born again Christians hain. . Tab Prabhu ki awaaz ne kaha jise Parmeshwar ne shudh kaha hai use tu ashudh mat kah. 3 bar aisa hua n uske bad wo chadder aasman par utha li gyi. Abhi Patras samjhne ki koshish hi kar raha tha ke 2 sipahi use dhundte aa gye. Tab Aatma ne Patras se kaha tujhe 3 jan dhundne aaye hain so tu utha kar neeche ja aur bekhatke unke sath chala ja. Brothers n sisters iss tarah Parmeshwar ne Patras ko anyajati logo ke yahan jakar vachan sunane ka hukum diya...jabki Israel me anya jati logo ke sath unka uthna baithna mana hai ...shudh ashudh bahut mante hain wo log jaise hamare desh me hindu jati me brahmin mante the pahle. Iss tarah Parmeshwar ne Patras ko anyajati logo me istemal kiya...Cornelius halaki ek Romi tha lekin wo God se prem karta tha n yahudi logo ki help bhi karta tha.. Lekin bas ek hi kami thi Cornelius me ke wo Swarg ke Raste ko nahi janta tha..use pata nahi tha mukti ka rasta kon sa hai. Vacahn kahta hai Yeshu hi ek matar Marg , aur sachai aur jeevan hai bina Yeshu ke Pita ke paas nahi pahunch sakte. so Patras ne uske ghar jakar wahan Prabhu Yeshu Masih ki khushkhabri sunayi...ke kaise Parmeshwar ne apne putter ko manav jati ke Uddhar ke liye dunia me bheja jisne sabke gunaho ki khatir cross par jaan di,mara gya dafan hua aur Halelujah wo teesre din jee utha ,aaj bhi uski kabar khali hai...So God ne Patras ko bheja taki unhe Mukti ka marag bataye jo keval Yehsu hai..Cornelius ke ghar me aur bhi Romi log the jo Patras ki intezar kar rahe the ke wo unhe vachan sunaye. Patras ne unhe bataya ke Purane niyam me sab Nabiyo ne Yeshu ke bare me bhavishvaniyan ki ..ke jo koi us par vishvas karega,us ko Yeshu ke nam ke dwara paapon ki maafi milegi. (Acts 10:43) jab Patras vachan suna hi raha tha n sab badhe dhyan se n sache dil se sun rahe the ke un par Pavitar aatma utra n sab anya bhasha me bolne lage. Pavitar aatma jab utarta hai yani Holy Spirit ke Baptism ki pahli nishani yahi hai ke log anya bhasha me bolte hain n prabhu ki badhai karte hain. Anya bahsha ke vardaan ke liye kisi tarah ki tyari ki jarurat nahi..keval sachai se vachan ko sunna n grahan karna...Parmeshwar dil ki sachai dekhta hai...Parmeshwar insaan nahi ke muh dekhi bat kare God hamare hirday ko dekhta hai ki kya hamra mann bhi Prabhu ki stuti kar raha hai sache dil se. Jab unpar Pavitar aatma un par undela gya to wo sab ke sab bhanti bhanti ki basha me bol rahe the to Patras ne kaha ; Kya koi Jal (Water) ko rok sakta hai ye Baptisma na le payen..jinhone hamari hi tarah Pavitar aatma paya hai?" Acts 10:47.. Tabh Patras ne hukum diya k unhe pani ka baptisma diya jaye . kyunki Patras ne wahan hukum diya ke inhe Baptisma diya jaye Yeshu ke nam se..Lekin jo galat shiksha par chalne wale hain wo is verse ko pakadh kar bahas karte hain n Triek Parmeshwar ko nahi mante. Aap me se kitne hain jo Pavitar aatma ka baptsima paye hue hain? Kya aap Pavitar atama ka Baptism mangte ho? Luke 11:9-11 ka matlab ye hai ke Yeshu ne yahan saaf saaf kaha ke mangne par hi pavitar aatma milta hai bina mange nahi..Yeshu ne kaha, “aur maain tum se kahata hoon ki mango, to tumhen diya jaaega dhundo to tum paoge khatkhatao, to tumhare liye khola jaaega. kyonaki jo koi mangata haai, use milata hai aur jo dhundhta hai, wo pata haai aur jo khattkhttata hai, usake liye khola jaaega.Tum me se aisa kaun pita hoga, ki jab usaka putar roti mange, to use pather de: ya machhlee mange, to machhlee ke badale use sanp de?ya anda mange to use bichchoo de?Luke 11:9-12.. Pavitar aatma Swarg jane ke liye ek mohar hai ..jaise kisi post kiye hue lifafe par Post office ki Mohar na ho to post nahi kiya ja sakta usi tarah Pavitar atama ki seal yani mohar ke bina Swarg nahi aj sakte. Jesus ke Swarg jane ke bad Chele lagatar ek room me baith kar keval dua hi karte rahe...10 din tak n uske bad Pentecost wale din Holy Spirit utra...ye koi chup chap aane wali bat nahi hai..koi mamuli bat nahi...bahut badhi bat hai ke Parmeshwar ka Atma hamare ander vaas karne aata hai sada ke liye hallelujah Amen
Posted on: Wed, 31 Jul 2013 10:23:57 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015