QAYAMAT KI ALAMAAT Posted on January 2, 2013 by - TopicsExpress



          

QAYAMAT KI ALAMAAT Posted on January 2, 2013 by farhanbajrai Hazrat Abu Huraira razi Allahu bolt se riwayat hai ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Jab Maal e Ghanimat ko Shaqsi Daulat Bana lya jaye, aur jab Logon ki AMANAT ko MAAL E GHANIMAT samajh lya jaye aur jab ZAKAT ko ek TAWAAN (TAX) samjha jane lagey aur Jab ILM E DEEN ko DUNYA TALABI ke lye Seekha jane lagey aur jab MARD apni BIWI ki Ita’at aur MAA ki NAFARMANI karne lagey, aur DOST ko Apne Qareeb kare aur BAAP ko Door rakhe, aur MASJIDON me SHOR O GHAL hone lagey aur QABEELE kar SARDAR unka FASIQ BADKAAR ban jaye aur Jab QAUM ka SARDAR unme Arzal badtareen ADMI hojaye, aur jab SHAREER ADMIO ki IZZAT unke SHAR ke KHAUF se ki jane lagey aur jab GAANE wali AURTON aur BAAJON GAAJON Ka RIWAAJ AAM hojaye aur jab SHARAABEN PII jaane lagey aur is UMMAT ke Akhri log pehle Logo par LANAT karne lagey, to s Waqt tum Intezar karo ek Surkh Andhi ka aur Zalzale ka aur ZAMEEN Khasaf hojane aur SOORTEN MASAKH hojane ka aur QAYAMAT ki aisi NISHANIYO ka jo yake baad Deegre is tarah Ayengi jaise kisi HAAR ki ladi toot jaye aur uske DAANEY BAIK WAQT BIKHAR JATE HAIN. [SUNAN TIRMIZI] TAMBEEH:- IS hadees ke Alfaz ko bar bar padhye aur Dekhye ke is waqt ki DUNYA ka poora poora NAQSHA hai, aur WO GUNAH jo MUSALMANO me Aam hochuke hai aur badhte jarahe hai unki Khabar 1400 Saal pehle Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne Dedi hai, aur MUSALMANO ko is par mutanabbah kiya hai ke aise Halaat se bakhabar rahen, aur GUNAHO SE BACHNE BACHANE ka ehtmam karen, warna Jab ye Gunah Aam hojayenge to aise karne walo par asmani Azaab nazil honge, aur phir QAYAMAT ki AKHRI ALAMAAT Samne ajayengi. Ghaur karen Aj GAANE AUR NAACHND WALI AURTO KO IZZAT se dekha jaraha hai Dost ko Qareeb aur Baap ko Door kiya jaraha hai, Gaane bajane aam hai, Maa baap ki Nafarmani aam, Shareer ki Uske Shar ki wajeh se izzat waghaira waghaira. Musalmano Jaago, Gunaho se bacho warna ALLAH KA AZAAB ayega. Tauba karo mere bhaiyo.
Posted on: Tue, 17 Sep 2013 09:11:23 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015