RAMZAN – EK MUQADDAS WA BA-BARKAT MAHINA… (RAMZAN - TopicsExpress



          

RAMZAN – EK MUQADDAS WA BA-BARKAT MAHINA… (RAMZAN MUBARAK) Quran Mafhoom: Ramzan wo mahina hai jis mein Quran utara gaya, jo logo ke waste hidayat hai aur hidayat ki roshan daleeley aur haq aur batil mein farq karne wala hai. so jo koi tum mein se is mahine ko pa le to iske roze rakhe. (CH:2 V:185) Hadees Mafhoom: Jo koi bhi Taqwe aur ALLAH se achi jaza ki ummed ke sath RAMZAN ke roze rakhega uske pichle gunah maf kar diye jayenge. (Bukhari) Hadees Mafhoom: Ya Rabb, Mujhe is Rajab se shaban aur phir ane wale Ramzan tak Pahuncha de. _________________________________ ____________________________ Kuch he din mein Ramzan shuru hone wale hain ek Islami mahaul dikhega, aisa lagega jaise Musalman badh gaye, masjido mein achanak bheed hone lagegi, jin masjido mein 1 ya 2 saf bhi theek se nahi bharti hain wahan par bhi masjid ke bakadr log ane lagte hain, Har taraf Namze, Quran ki tilawat, Tasbeehat, Zikro Azkar, Sehri aur Iftaar ki dhoom machi hogi. Gunaho par ek dum se lagham laga di jayegi, har shakhs darega, gali na bake, namehram par nigah na pade, juwan, satta aur sharab jaise haram kamo se khud ko rok liya jayega. Har taraf log safed kurte payjame pehne huey aur saro par topiya lagaye huey ekdam se apne andar chupey ek neik Musalman ko bahar nikal lenge aur Ek bht he khushnuma aur islami mahaul har gali, nukkad, aur chaurahe par hoga. ALLAH RABBUL IZZAT ne is mahine mein humein beshumar barkaat aur inamo se nawaza hai jiska sabse bada saboot ye hai ki Ramzan aur Ghair Ramzan mein ki gayi ibadat ka ajr bilkul juda hai, jahan ghair Ramzan mein Nafl namaz se sirf Nafl namaz ka he sawab milta wahi Ramzan mein iska ajr badhkar Farz namaz ke bakadr ho jata hai, jahan ghair Ramzan mein farz ka ajr sirf uski haisiyat ke mutabiq hota hai wahi Ramzan ke farz ka ajr 70 Guna badh jata hai. Isi tarah aur bhi ibadaat ka ajr is khusoosi mahine mein badh jata hai. Nabi SAWW ne is mahine tak pahunchne aur usey pane ke liye khusoosi dua mangi jisse is mahine ki azmat ka andaza humein ho jana chahiye aur Nabi SAWW ne Hadhrat Jibraeel A.S. ki baddua par ameen bhi kaha hai ki “Halak ho wo shakhs jo is mahine ko paye aur apni maghfirat na kara paye” is par Nabi SAWW ne ameen kaha, ek to us masoom Farishte ki baddua aur dusre Masoom Nabi SAWW ki ameen ne is mahine ki azmat ko badha kar, agar main kahun ki ,asman ki bulandiyo par kar diya to ghalat na hoga. Ab agar kisi musalman ko ye mahina mile aur wo apni ibadat ko badha kar aur usme taqwa aur ikhlas bharkar apni maghfirat na kara paye to phir uske liye isse zyada afsoos aur ghum ka din kya hoga. Agar hum is bat ko samjhne ki koshish kare ki akhir ye roze aur ibadat ka jo mahina ALLAH ne humein diya hai to iska kya matlab hai ki humein lagatar 29 ya 30 din diye hain ki in 29 se 30 din mein har din roza rakho, to baat darasal ye hai ki jis tarah kisi company mein kam karne walo ko kuch khusoosi dino mein ek training di jati hai taki wo us training ko kare aur agey ane wale dino mein company ke liye achi tarah kam kare, to mere Azeez dosto ALLAH ne ye jo mahina humein ata farmaya hai ye bhi ek training hai, aur ye training ka programme ALLAH ne isliye rakha hai ki in 30 dino mein har kisi ki ibadat karne ki adat pad jaye aur wo adapt ane wale 11 mahino mein barkarar rahe aur har Musalman apni akhirat ke bare mein bhi fikr kare aur mustaqbil mein ALLAH ke ahkam aur Nabi SAWW ki Sunnato par chalne wale ho jaye. Agar ALLAH ko hamari maghfirat na karni hoti to ALLAH RABBUL IZZAT humein ye mahina na deta, ALLAH ka behisab ahsan hai ki usne humein ye mahina diya aur usme apni rehmato aur nemato ki barish barsayi. Ye Ramdan ko Nabi SAWW ne ek dhal bataya hai ki ye dhal hain tumhe kayi sare gunaho se bachane ke liye jaise sharab, juwan, jhooth, behayai aur sharmi aur isi trah tamam kabeera wa sagheera gunaho se bachne ke liye. Jab ek musalman roza rakh kar in gunaho se bachega to uske andar Taqwa paida hoga aur jab is mahine mein wo in gunaho se bach jayega to INSHAALLAH ye parhezgari ki adat ane wale waqt mein bhi rahegi. ALLAH SWT jante hain ki insan ki fitrat hai ki wo cheeze bhool jaya karta hai aur adate chooth bhi jaya kati khwah uske liye uzr kuch bhi lekin isiliye ALLAH SWT ne ye mahina har sal ke andar rakha hai agar use sirf batana he maqsood hota to sirf ek he bar Ramzan deta lekin usey pata tha isiliye usne ye Mubarak mahina har sal diya hai. ALLAH humein is Ramzan mein tamam ibadat ko ikhlas aur dil se karne ki taufeeq ata farmaye aur hamesha isi tarah mustaqil mizaji ke sath DEEN par qayem dayem rakhe. AMEEN YA RABBAL ALAMEEN… JAZAKALLAHU KHAIRAN KASEERAN KASEERAH…
Posted on: Fri, 05 Jul 2013 09:32:55 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015