Raanjhana in Banker style... Bass.. Bass itni hi kahaani thi - TopicsExpress



          

Raanjhana in Banker style... Bass.. Bass itni hi kahaani thi meri.. Ek Branch thi jise mai nikal ke ghar hi nahi jaa pata tha. ek manager tha jo abhi bhi iss ummeed me tha ki shayad launda or der ruk jaye. do or officer the jo pagal ho chuke the. Ek aur dy. manager tha jo ye bhul chuka tha ki uske biwi or bacha v hai. mere pas computer tha, file tha, dher sare no Frill a/c tha, aur ye ek dimag tha jo bechara pak chuka tha, aur ye ek hamara dil tha jisme ab bhi himmat baki thi hum or kaam kr sakte the, par kiske liye, hum or deposit la sakte the par kiske liye. mere banker dost, bank,bank ka hall tha jisme ab v bhid khadi thi, sab mujhse chhut raha tha, par rukte bhi kiske liye. mere kaam ki takat ya to mujhe promote kara sakti thi ya meri watt laga sakti thi... par sala ab ruke kaun, kaun fir se mehnat kare customer ko service dene ko, DD banane ko payment karane ko. abe koi to awaaz deke rok lo, ye AGM jo har roz hamari lete rehte hain, aaj bhi agar theek se bole to mahadev ki kasam 1 cr ki deposit le aayen...par nahi, ab sala mood nai hai, ab aankhe band kar kaam kerne me hi sukh hai, kaam pending rakh dene me hi bhalai hai...par uthenge kisi roj advances nd deposit badhane ko, KCC ke loan dene ko NPA ki recovery kr jane ko, CASA badhane ko or apni puri zindagi bank me jhok dene ko...Banker of d year kehlane ko...par ab sala mood nahi hai...
Posted on: Tue, 03 Dec 2013 18:21:44 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015