"Sammer ke waalidin ki khwahish hai ki mein chand alfaz kahu. Mein - TopicsExpress



          

"Sammer ke waalidin ki khwahish hai ki mein chand alfaz kahu. Mein aap se kehna chahunga ke wo humare Yeh jhazbein ko samazte hai. Jhazba Hume himmat deta hai. Unho ne Ek paigam Aur bi diya hai hum sabko, Jo agar sammer, masoom muskurata hua sameer Sun sakta toh yakeenan usse ittafaq karta. Unho ne kaha hai ki humare bete ke liye aansoon na bahana. Ye dariya aansoon o se kabka labrez Ho Chuka hai. Unho ne kaha hai humare bete ka intkaam na lena, iss dariye me bahut khoon beh chuka hai. Unho ne kaha hai kismat ko na kosna, humara beta alla ko pyaara ho gaya hai. Ponchlo apne aansoon Aur dua karo Ek aise mustakbil le liye, jab jhalim Aur jhaver Nahi honge, hamlawaar Nahi honge, Aur aao apne hum saayo ko saath le kar aao, Aur ye meher-e-taba se Jake keh do, wo apni kirano ko gin ke rakh de, mein apne sehra ke jharre jharre ko khud chamakna sikha raha hoon." - The Reluctant Fundamentalist
Posted on: Sat, 20 Jul 2013 17:04:53 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015