Sukh-samriddhi, yash aur vaibhav ka parv Dhanteras ke din dhan ke - TopicsExpress



          

Sukh-samriddhi, yash aur vaibhav ka parv Dhanteras ke din dhan ke devta Kuber aur mrityu ke devta Suryaputra Yamraaj ki pooja ka bada mahtva hai. Hindu panchang ke anusar Kartik Maas ke Trayodashi tithi ko manaye jane wale is mahaparv ke bare me pauranik manyata hai ki isi din devtaaon ke vaidya Dhanvantari Rishi amrit kalash sahit Sagar Manthan se prakat huye the, jis karan is din Dhanteras ke sath-sath Dhanvantari Jayanti bhi manaya jata hai. Nayi chijo ke shubh kadam ke is parv me mukhya roop se naye Bartan ya Sona-Chandi kharidane ki parampara hai. Aasthavaan bhakton ke anusar chunki janm ke samay Dhanvantari ke hathon me Amrit Kalash tha, isliye is din bartan kharidna ati shubh hota hai.Kaha jata hai ki isi din Yamraaj se Raja Him ke putra ki raksha uski patni ne kiya tha, jis karan Deepawali se do din pahle manaye jane wale aishwarya ka tyohar Dhanteras par sanyakaal ko Yamdev ke nimitt deepdaan kiya jata hai. Is din ko Yamdeep Daan bhi kaha jata hai. Manyata hai ki aisa karne se Yamraaj ke kop se suraksha milti hai aur pura parivaar swasth rahta hai. Chunki Peetal Bhagvan Dhanvantari ki dhatu mani jati hai, isliye is din Peetal kharidana bhi shubh mana jata hai. Is din gharon ko saaf-safaai, leep-pot kar svachchha aur pavitra banaya jata hai aur fir sham ke samay rangoli bana deepak jalakar dhan aur vaibhav ki devi Maa Lakshmi ka aavahan kiya jata hai.
Posted on: Fri, 01 Nov 2013 04:44:00 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015