Summary of Discourses by Rev. Channi Faridabadi Ji at Nirankari - TopicsExpress



          

Summary of Discourses by Rev. Channi Faridabadi Ji at Nirankari Satsang Bhawan Airoli On 5th May 2014 Param Pujya Sadh Sangat Ji Pyar Se Kahiye Dhan Nirankar Ji 1. Sadh Sangat Ji hum sab ki bahut badi khushkismati hain ki hum satguru ko dhanyavad dene aaye hain. Office mein Apne senior ki kursi pe koi baith jaye aur woh senior aa jaye toh toh baithnewale ki naukari khatre mein pad sakti hain par Satguru ki kirpa toh dekhiye ki inhone na keval Inki iss jagah par Gurusikh ko bithaya balki kaha bhi ki usse Guru jaisa pyar do. Aapne yaha joh namskar kiya woh Gurusikh ko nahi Satguru ko hi ki hain. 2. Hum sab ne Satguru ko Mannmatt De kar Gurmat li hain. Satsang mein aa kar hum harr vachan ko dhyan se sunana hain. Samay 7 se 9 hain toh 7 baje hi aaye. Humare late hone ka karan humari soch hain ki Sangat hi saari late aati hain. Ek dafa aadesh aaya ki Drum Dudh se bharna hain sab ne ek ek glas Dudh lana hain. Toh ek Buddhiman ne socha ki Main ek glass Pani se le jau toh kya farak padega Aur Yehi hi ek baat sab ke dimag mein aaye aur woh Drum Pani se hi bhara gaya. Cinema dekhne ke liye bhi hum Film shuru hone se pehle pahuchte hain. Sangat se jyada important aur kuch nahi. Babaji ne farmaya 50 kam chorhkar Nahana chahiye. 100 kam Chorhkar Khana Khana Chahiye 1000 kam Chorhkar humein Satsang jana chahiye. 3. Nirankar SadhSanagt aur Satguru ek jaisi taqat hain. Film ki cassette hum kiraye ke liye laatein hain. Magar cassette se film nahi dikhti aur na VCR mein dekhti hain. Lekin jab VCR ko TV Se joda jaye toh TV par Film dikhti hain. Toh tino ko milakar hi film dekhi jaa sakti hain. Bhakti bhi tino ko milakar hi ho sakti hain. 4. Shehenshah ji ke jamane mein kisi Mahatma ne kisi se Paise udhar liye. Lakh mangane par uss ne paise nahi diye. Toh woh Shehenshah ji ke pass pahucha ki dekho woh paise nahi deta. Jab usko Shehenshah ji ne bulaya aur pucha toh usne kaha maine paise nahi liya. Toh usko Nirankar aur Satguru ki kasam lene ko kaha aur uss ne zoothi kasme li aur fir use Sadhsanagat ki kasam lene kaha toh usne kaha main Sadh Sanagat ki Kasam nahi kha sakta. Toh Shehenshah Ji ne pucha tune Nirankar aur Satguru ki zoothi kasam khayee kyun? Toh usne kaha Nirankar rooth gaya toh aap mana lo ge aur Aap Rooth gaye toh Sangat Mana lo ge Lekin Sadh Sanagat ruth gaye toh kaun manayega. Toh Shehenshah ji bahut khush hue. Sangat ki Mahima Sarvshresth hain. 5. Satguru itna majbur nahi ki keval Stage pe baithe Mahatma se hi bulvaye yeh kisi bhi roop mein aap ko sikha sakte hain. Iss liye Humne Satsnag Vakt mein aana hain. 6. Hum Dukh Sukh mante hain. Lekin jaise Aankhri saans aaye toh saare dukh samapt ho jate hain waise hi Duniyavi Sukh ko bhi Ghaspus kaha gaya. Asal Dukh woh hain Joh Aatma Karodo Saal Chaurasi Lakh Yoni mein hoti hain. Aur Asal Sukh woh hain jiss ko Satguru ne asal Zindagi mein Prabhu se mila diya. 7. Satguru Nirakar ko Prakat karta hain. Satguru Sakar Paramatma hain. Nirakar ke 3 Gunn hain Sat Chit aur Anand . Satguru mein 2 aur gunn hain. Woh Sat, Chitt Ananad ke sath sath, Satguru Sakar hain iss ke hum Charan chu sakte hain aur Satguru Sakar Ki Vaani hain. Yeh humein Samzata hain. Agar Nirankar mein se aavaj aaye toh hum darr jayenge. Kuran mein aaya ki Ae Nabi Tu bolega toh sab sunnege magar mein Khuda banke bolunga toh sab bhoot Samazkar bhaag jayenge. 8. Master ka Sharir Master nahi uski Shiksha Master hoti hain. Satguru ka Gyan hi Satguru hota hain. Gurugeeta mein kaha Satguru se bada Nirankar, Gyan, Yagya nahi hota Kahe Avtar Guru Hi Rabb Hain Iss Vich Koi Bhulekha Nahi Kisi Paigambar ke pass koi pahucha aur uss ne kaha Khuda ka deedar karao. Toh uss ko kaha gaya ki Hath Jodkar Mere Charno pe sis zukakar kar kaho Aye mere khuda, tumhara deedar karao. Toh Sab ne usse mana kar diya Toh waha Koi Jigyasu aaya. Woh Jigyasu ko bhi uss Paigambar ne kaha ki Hath Jodkar Mere Charno pe sis zukakar kar kaho Aye mere khuda, tumhara deedar karao toh woh Jigyasu kehne laga Khuda ko dene wala Khuda se bada hota hain. Main aapko Khuda se bada manta hu aur usse Khuda ka deedar hua. Jaise Pani ka Dhanyavad nahi hota Pani pilane wala ka dhanyavad hota hain waise hi Satguru ka hi Dhanyavad banta hain. Tere Aehsan Tera Pyar Hi Lata Hain Tumhare pass Varna kisko Fursat hain Kisi se milne ke liye 9. Hum Time par Sanagat mein aaye. Kyun ki Sanagat hi Humein Satguru aur Nirakar se Jode rakhta hain. Yaha aakar baithne se sharir ka kam khatm aur mann ka kam shuru ho jata hain. Kan, Juban keval Instruments hain. Humari Indriya Mann Ke Adhin hoti hain aur Mann Buddhi ke adhan, Buddhi Atma ke aadhin aur Aatma Paramatma ke control mein hain. Scientists ne kaha 3 minute se jyada Mann ko concentrate nahi kiya ja sakta hain. Mann idhar udhar jata hain. Jaha aankh jayegi waha mann bhi jata hain. Samaz unko aaye toh kyun kar Joh sune kam aur sunaye jyada Nasha unko aaye toh kyun kar Joh Piye kum aur giraye jyada. Mann ko Satsang mein lagana hoga. 9. Dass mission mein aane se pehle kisi ne muzse sawal kiya ki Guru Pir Paigambaro ko Sharirik takleef mili unko takleef nahi hue toh dass ne jawab diya ki jaise operation ke samay koi nasha diya jata hain jiss se koi dard nahi hota waise hi unke pass bhi naam ka nasha tha. Arjun Dev ji ne Miya Mir ko kaha jiss tave par baitha hu, aag hain Joh Samne khada hain jissne yeh aadesh diya sab mein Nirankar hain. Toh takleef kaisi. Shehenshah ji kehte the Brahmgyani ko fansi bhi ho toh woh ghabrata nahi hain kyun ki woh janta hain ki jindagi ek sans ki hain. Mardana ko Guru Nanak Ji Ne kaha Jindagi kitni lambi hain toh uss ne kaha Din katt gaya pata nahi kal aaye yaa na aaya toh ussne Guru Nanak Dev ji ko kaha ki aap batao Jindagi kitni lambi hain. Toh unho ne kaha ek sans gaya pata nahi wapas aaye na aaya. 10. Jab Baat Kehkar Juda hue tab woh baat yaad aaye joh kehni thi. Yeh Pyar hain aapka. Hum Guru Ki baat Karte Chale Jaye Sadh Sangat Ji Dhan Nirankar Ji
Posted on: Mon, 05 May 2014 17:09:03 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015