TAQLEED SE TOBA Munazra or hanfi ki haar imam abu hanifa k - TopicsExpress



          

TAQLEED SE TOBA Munazra or hanfi ki haar imam abu hanifa k shagird abu yusuf -------------------------- Note Log is ghalat fehmi mai h k imam shafaee 150 hijri mai paida hue to imam malik se kaise mile ? Yaad rahe imam malik ki wafat 179 hijri h to mulakat sabit hone mai kisi andhe mukallid ko shak nhi hona chahiye ??? ----------------------------------- Munazre mai imam Shafaee(r.al se har gaye to imam abu hanifa ki taqleed se toba kar li Haroon rasheed ki khilafat zamana tha madina sharif ki zyarat ko aap aye Yahan imam malik(r.al masnad e dars par masjid e nabvi mai ronak afza h imam shafaee(r.al bhi yahan tashrif farma h or imam yusuf jo imam abu hanifa k shagird h wo bhi h Charo buzurgo ka ijtema. Haram e rasool mai hua h Imam shafae or abu yusuf k darmiyan baaz masail mai ikhtelaaf hai abu yusuf k dil mai khayal guzarta h k is ikhtelaaf ka fesle ka aaj se behter or sadar e masjlis banane k liye khalifa e waqt se zyada ba waqt hasti or kaunsi hogi Foran khalifa waqt k samne apni is darkhawast ko pesh karte h jo pesh hote hi pas ho jaati h Munazre k liye 3 masail karar diye jaate h (1) Wakaf (2) Saa (3) Ikamat Abu yusuf ka dawa (1)Abu yusuf ki taraf se imam abu hanifa ki taqleed ka dawa h k wakf sirf ek wasiyat h agar kaazi ne jaari kardi to jaari ho jayegi (2) Saa k bare mai kehte h k wo 8 ratil iraqi ka h (3) Ikamat k bare mai khayal h k us k kalmat ek ek martaba na kahne chahiye bal k 2 2 martaba kehna zaroori h Imam shafaee ka mazahab in 3no masail mai imam abu hanifa or un k mukallid shagird abu yusuf k khilaf h (1)Imam shafaee farmate h wakaf ek sharayee masla h kaazi ki kaza se pehle wakf jaiz or jari ho jata h (2) Saa iraq ka motebar nahi bal k madine ka jo wazan mai 5 ratil or ej tehayee h (3) Ikamat k kalamat ek ek martaba kehna sabit h 2 martaba nhi Munazre shuru hua imam shafaee se daleel talab ki jaati h Imam shafaee hazrat bilal(r.a or abu saeed khudri(r.a or dusre sahaba(r.a k bachche or bachon k bachcho ko bulate h jo Nabi(s.a.w k mozzin they or un se pucha jata h k tum azaan kis tarah kehte ho or ikamat kis tarah kehte ho jab wo kehte to ikamat k ekhari hoti h kalmat ek ek baar kehte h or azaan dojri kalmat 2 2 baar kehte h Aap farmate tum ne ye azaan kis se sikhi ? Wo sahaba(r.a ki aal aulaad batati h hum ne apne baap unhe ne apne baap is tarah sanad Nabi(s.a.w tak phonchti h Fir ehle madina ko hukm dete h k jis saa se naap kar tum fitra ada katye ho le aao bhot se saa jama ho jaate h farmate h isey ne naap kar tolo jab tola jata h to wohi wazan baithta h jo imam shafaee batate they Us k baad aap hazireen e majlis ko le k madina k bahar jaate h or ek zameen ki taraf ishara karte h ye zameen kis ki h ? Jawab milta h ye wakf h abu bakar(r.a ki Dusri taraf ishara farmate h ye zammeen kis ki h jawab milta h omar(r.a ki wakf h Tessri zameen usman(r.a ki wakf milti h Chothi zameen ali(r.a ki wakf milti h Ye falan sahaba(r.a ki ye falan sahaba(r.a ki h In dalailo k bayan k baad khalifa se kaha main apne dalail pesh kar chuka hu or farmaya jo amal nabi(s.a.w se sabit h us k khilaaf amal karne ka haq koi nhi rakhta ? Mere nazdeek to kabil e kubul amal to wo h jo nabi(s.a.w se sabit ho na k wo jo sunnat k khilaaf ho KHALIFA HAROON RASHEED farmate h bilkul thik durust baat h fil haqiqat haq wo h jis par Nabi(s.a.w ki mohar ho Ab haq abu yusuf pe zahir ho gaya or dalail maloom ho gaye aap ne foran bina pasho pesh k usey kubul kar liya or saaf lafzo mai farmaya imam shafaee SADAKAT par h or mai GHALTI par tha Haq wohi h jis k sachche dalail imam shafaee ne farmaye h Mai apne ustaad abu hanifa k in masail ko chordhta hu or un daleelo ko tasleem karta hu jo imam shafee farmaye h Is kalam ko sunnate hi awaam mai khabali mach gaee or awazien aane lagi k aap ye kiya kar tahe h ? Taqleed todte h ?? Or imam sahab k mazhab se muh modte h ?? Khayal to kijiye ?? Kis qadar afsos naak dhabba lagega ehle kufa par ??? Lekin abu yusuf badi dileri or sachchai or azadi se jawab dete h k is qadar dalail k zahir ho jaane k baad mai kaise abu hanifa ka mukallid reh sakta hu ? Or q na apne ustaad imam k kaul ko na chordhu ?? Mai kiya meri jagah agar abu hanifa bhi hote or jo dalail imam shafaee ne diye h unhe bhi milte to jis tarah maine ruju kiya h wo bhi ruju kar lete or wohi kehte jo hadis e rasool(s.a.w se sabit h (Kitaab mazhees ul khalk imam harmen shams al sharya fakharul islam abu mala abdul malik bin abdulla juweni(r.al), neshepur k nawah mai juwen naami ek gaon h aap wahi paida hue h kaseerut tasaneef they)
Posted on: Sat, 02 Nov 2013 14:11:50 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015